shahr-e-dost
vo shahr-e-dost bhī
ruḳhsat huā ki jis ne sadā
hamāre dil meñ khilā.e the chāhatoñ ke gulāb
ḳhumār baaqī hai ab tak hamārī āñkhoñ meñ
hasīn lamhoñ kā jo us ke dam se raushan the
tumhāre ba.ad bhī ā.eñge yuuñ to sab mausam
bahut satā.eñge lekin har ek mauqa par
jo hote tum to
ye kaam is tarah karte
kareñge yaad tumheñ ham ka.ī havāloñ se
ajiib shaḳhs thā
kaḌvī-kasīlī sun kar bhī
na tez bolā kisī se
na vo huā nārāz
sajā.e rahtā thā hoñToñ pe chāhatoñ ke gulāb
bichhaḌ rahe ho to va.ada karo mire hamdam
kabhī jo guzro idhar se to bhuul mat jaanā
yahīñ mileñge kisī mūlsarī ke peḌ tale
kareñge bāteñ shrañgār-ras ke dohoñ kī
kareñge bāteñ bihārī kī nāykāoñ kī
kareñge bāteñ kisī ke rasīle hoñToñ kī
mahaktī zulfoñ kī kājal kī us kī bindiyā kī
lachaktī shāḳh se jismoñ kī
chāñd-chehroñ kī
bichhaḌ rahe ho to va.ada karo
ki aaoge
kabhī jo guzro idhar se to bhuul mat jaanā
tumhāre hijr ke mausam kī sabz chādar ko
maiñ apne tan pe sajā.e
yahīñ milūñgā tumheñ
wo shahr-e-dost bhi
ruKHsat hua ki jis ne sada
hamare dil mein khilae the chahaton ke gulab
KHumar baqi hai ab tak hamari aankhon mein
hasin lamhon ka jo us ke dam se raushan the
tumhaare baad bhi aaenge yun to sab mausam
bahut sataenge lekin har ek mauqa par
jo hote tum to
ye kaam is tarah karte
karenge yaad tumhein hum kai hawalon se
ajib shaKHs tha
kaDwi-kasili sun kar bhi
na tez bola kisi se
na wo hua naraaz
sajae rahta tha honTon pe chahaton ke gulab
bichhaD rahe ho to wada karo mere hamdam
kabhi jo guzro idhar se to bhul mat jaana
yahin milenge kisi mulsari ke peD tale
karenge baaten shrangar-ras ke dohon ki
karenge baaten bihaari ki naykaon ki
karenge baaten kisi ke rasile honTon ki
mahakti zulfon ki kajal ki us ki bindiya ki
lachakti shaKH se jismon ki
chand-chehron ki
bichhaD rahe ho to wada karo
ki aaoge
kabhi jo guzro idhar se to bhul mat jaana
tumhaare hijr ke mausam ki sabz chadar ko
main apne tan pe sajae
yahin milunga tumhein
- Book : Udas Lamhon Ke Mausam (Poetry) (Pg. 23)
- Author : Farooq Bakhshi
- Publication : Modern Publishing House (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.