be-sabab to na thiiñ tirī yādeñ
terī yādoñ se kyā nahīñ sīkhā
zabt kā hausla baḌhā lenā
āñsuoñ ko kahīñ chhupā lenā
kāñptī Doltī sadāoñ ko
chup kī chādar se Dhāñp kar rakhnā
be-sabab bhī kabhī kabhī hañsnā
jab bhī ho baat koī talḳhī kī
mauzū-e-guftugū badal denā
be-sabab to nahīñ tirī yādeñ
terī yādoñ se kyā nahīñ sīkhā
be-sabab to na thin teri yaaden
teri yaadon se kya nahin sikha
zabt ka hausla baDha lena
aansuon ko kahin chhupa lena
kanpti Dolti sadaon ko
chup ki chadar se Dhanp kar rakhna
be-sabab bhi kabhi kabhi hansna
jab bhi ho baat koi talKHi ki
mauzu-e-guftugu badal dena
be-sabab to nahin teri yaaden
teri yaadon se kya nahin sikha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.