tumhaari yaad
raat ke surma.ī añdheroñ meñ
saañs lete hue saveroñ meñ
aabjū ke hasīñ kināroñ par
ḳhvāb-ālud rahguzāroñ par
gulsitānoñ kī sair gāhoñ meñ
zindagī kī hasīn rāhoñ meñ
mai-e-rañgīñ kā jaam uThāte vaqt
ranj-o-ġham kī hañsī uḌāte vaqt
shādmānī meñ ġham ke tūfāñ meñ
raunaq-e-shahr meñ bayābāñ meñ
raqs kartī huī bahāroñ meñ
ḳhūn-āshām ḳhār-zāroñ meñ
dopahar ho ki nuur kā taḌkā
fasl-e-gul ho ki daur patjhaḌ kā
sub.h ke vaqt shaam ke hañgām
be-quyūd-e-maqām be-hañgām
dāman-e-dil ko thaam letī hai
kitnī gustāḳh hai tumhārī yaad
raat ke surmai andheron mein
sans lete hue saweron mein
aabju ke hasin kinaron par
KHwab-alud rahguzaron par
gulsitanon ki sair gahon mein
zindagi ki hasin rahon mein
mai-e-rangin ka jam uThate waqt
ranj-o-gham ki hansi uDate waqt
shadmani mein gham ke tufan mein
raunaq-e-shahr mein bayaban mein
raqs karti hui bahaaron mein
KHun-asham KHar-zaron mein
dopahar ho ki nur ka taDka
fasl-e-gul ho ki daur patjhaD ka
subh ke waqt sham ke hangam
be-quyud-e-maqam be-hangam
daman-e-dil ko tham leti hai
kitni gustaKH hai tumhaari yaad
- Book : Yad aaunga (Pg. 139)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.