yaad
dasht-e-tanhā.ī meñ ai jān-e-jahāñ larzāñ haiñ
terī āvāz ke saa.e tire hoñToñ ke sarāb
dasht-e-tanhā.ī meñ duurī ke ḳhas o ḳhaak tale
khil rahe haiñ tire pahlū ke saman aur gulāb
uTh rahī hai kahīñ qurbat se tirī saañs kī aañch
apnī ḳhushbū meñ sulagtī huī maddham maddham
duur ufuq paar chamaktī huī qatra qatra
gir rahī hai tirī dildār nazar kī shabnam
is qadar pyaar se ai jān-e-jahāñ rakkhā hai
dil ke ruḳhsār pe is vaqt tirī yaad ne haat
yuuñ gumāñ hotā hai garche hai abhī sub.h-e-firāq
Dhal gayā hijr kā din aa bhī ga.ī vasl kī raat
dasht-e-tanhai mein ai jaan-e-jahan larzan hain
teri aawaz ke sae tere honTon ke sarab
dasht-e-tanhai mein duri ke KHas o KHak tale
khil rahe hain tere pahlu ke saman aur gulab
uTh rahi hai kahin qurbat se teri sans ki aanch
apni KHushbu mein sulagti hui maddham maddham
dur ufuq par chamakti hui qatra qatra
gir rahi hai teri dildar nazar ki shabnam
is qadar pyar se ai jaan-e-jahan rakkha hai
dil ke ruKHsar pe is waqt teri yaad ne hat
yun guman hota hai garche hai abhi subh-e-firaq
Dhal gaya hijr ka din aa bhi gai wasl ki raat
- Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 184)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.