Abrar Azmi
Ghazal 13
Nazm 21
Sher-o-Shayari 9
kamre meñ dhuāñ dard kī pahchān banā thā
kal raat koī phir mirā mehmān banā thā
kamre mein dhuan dard ki pahchan bana tha
kal raat koi phir mera mehman bana tha
-
Share this
- See Ghazal
tamām raat vo pahlū ko garm kartā rahā
kisī kī yaad kā nashsha sharāb jaisā thā
tamam raat wo pahlu ko garm karta raha
kisi ki yaad ka nashsha sharab jaisa tha
-
Share this
- See Ghazal
parinde fazāoñ meñ phir kho ga.e
dhuāñ hī dhuāñ āshiyānoñ meñ thā
parinde fazaon mein phir kho gae
dhuan hi dhuan aashiyanon mein tha
-
Share this
- See Ghazal
mujhe bhī fursat-e-nazzāra-e-jamāl na thī
aur us ko paas kisī aur ke bhī jaanā thā
mujhe bhi fursat-e-nazzara-e-jamal na thi
aur us ko pas kisi aur ke bhi jaana tha
-
Share this
- See Ghazal
āvāzoñ kā bojh uThā.e sadiyoñ se
banjāroñ kī tarah guzāra kartā huuñ
aawazon ka bojh uThae sadiyon se
banjaron ki tarah guzara karta hun
-
Share this
- See Ghazal