Mohsin Zaidi
Ghazal 39
Sher-o-Shayari 13
jaise do mulkoñ ko ik sarhad alag kartī huī
vaqt ne ḳhat aisā khīñchā mere us ke darmiyāñ
jaise do mulkon ko ek sarhad alag karti hui
waqt ne KHat aisa khincha mere us ke darmiyan
-
Share this
- See Ghazal
bichhaḌne vāloñ meñ ham jis se āshnā kam the
na jaane dil ne use yaad kyuuñ ziyāda kiyā
bichhaDne walon mein hum jis se aashna kam the
na jaane dil ne use yaad kyun ziyaada kiya
-
Share this
- See Ghazal
koī kashtī meñ tanhā jā rahā hai
kisī ke saath dariyā jā rahā hai
koi kashti mein tanha ja raha hai
kisi ke sath dariya ja raha hai
-
Share this
- See Ghazal
jaan kar chup haiñ vagarna ham bhī
baat karne kā hunar jānte haiñ
jaan kar chup hain wagarna hum bhi
baat karne ka hunar jaante hain
-
Share this
- See Ghazal
BOOKS 7
Image Shayari 3
hame.n to KHair ko.ii duusraa achchhaa nahii.n lagtaa unhe.n KHud bhii ko.ii apne sivaa achchhaa nahii.n lagtaa nahii.n gar naGma-e-shaadii nafiir-e-Gam sahii ko.ii ki saaz-e-zindagaanii be-sadaa achchhaa nahii.n lagtaa hame.n ye band kamro.n kaa makaa.n kuchh bhaa gayaa itnaa ki ham ko ab ko.ii aa.ngan khulaa achchhaa nahii.n lagtaa kuchh itnii talKH us din ho ga.ii thii guftuguu un se ka.ii din se zabaa.n kaa zaa.iqa achchhaa nahii.n lagtaa kabhii nazdiik aa kar ruu-ba-ruu bhii ho.n mulaaqaate.n ki ham-saayo.n me.n itnaa faasla achchhaa nahii.n lagtaa kaThin rasto.n pe chalnaa apnii uftaad-e-tabii.at hai hame.n aasaan ko.ii raastaa achchhaa nahii.n lagtaa ise ham marsiya-goyo.n pe 'mohsin' chho.D dete hai.n likhe.n ham aap apnaa marsiya achchhaa nahii.n lagtaa