Sher of Rahi Masoom Raza
is safar meñ niiñd aisī kho ga.ī
ham na so.e raat thak kar so ga.ī
is safar mein nind aisi kho gai
hum na soe raat thak kar so gai
haañ unhīñ logoñ se duniyā meñ shikāyat hai hameñ
haañ vahī log jo akasr hameñ yaad aa.e haiñ
han unhin logon se duniya mein shikayat hai hamein
han wahi log jo akasr hamein yaad aae hain
ye charāġh jaise lamhe kahīñ rā.egāñ na jaa.eñ
koī ḳhvāb dekh Daalo koī inqilāb laao
ye charagh jaise lamhe kahin raegan na jaen
koi KHwab dekh Dalo koi inqilab lao
dil kī khetī suukh rahī hai kaisī ye barsāt huī
ḳhvāboñ ke bādal aate haiñ lekin aag barastī hai
dil ki kheti sukh rahi hai kaisi ye barsat hui
KHwabon ke baadal aate hain lekin aag barasti hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
zindagī DhūñDh le tū bhī kisī dīvāne ko
us ke gesū to mire pyaar ne suljhā.e haiñ
zindagi DhunDh le tu bhi kisi diwane ko
us ke gesu to mere pyar ne suljhae hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download