yahī hai āzmānā to satānā kis ko kahte haiñ
adū ke ho liye jab tum to merā imtihāñ kyuuñ ho
If this a trial, test, then pray what is torment? please explain
You've chosen my rival now, what need to test and cause me pain
yahi hai aazmana to satana kis ko kahte hain
adu ke ho liye jab tum to mera imtihan kyun ho
If this a trial, test, then pray what is torment? please explain
You've chosen my rival now, what need to test and cause me pain
jis zaḳhm kī ho saktī ho tadbīr rafū kī
likh dījiyo yā rab use qismat meñ adū kī
jis zaKHm ki ho sakti ho tadbir rafu ki
likh dijiyo ya rab use qismat mein adu ki
adū ko chhoḌ do phir jaan bhī māñgo to hāzir hai
tum aisā kar nahīñ sakte to aisā ho nahīñ saktā
adu ko chhoD do phir jaan bhi mango to hazir hai
tum aisa kar nahin sakte to aisa ho nahin sakta
maiñ jis ko apnī gavāhī meñ le ke aayā huuñ
ajab nahīñ ki vahī aadmī adū kā bhī ho
main jis ko apni gawahi mein le ke aaya hun
ajab nahin ki wahi aadmi adu ka bhi ho
go aap ne javāb burā hī diyā vale
mujh se bayāñ na kiije adū ke payām ko
though you may have replied to him as rudely as you claim
don't tell me what was in my rival's message, just the same
go aap ne jawab bura hi diya wale
mujh se bayan na kije adu ke payam ko
though you may have replied to him as rudely as you claim
don't tell me what was in my rival's message, just the same
yaañ tak adū kā paas hai un ko ki bazm meñ
vo baiThte bhī haiñ to mire ham-nashīñ se duur
yan tak adu ka pas hai un ko ki bazm mein
wo baiThte bhi hain to mere ham-nashin se dur
sahal ho garche adū ko magar us kā milnā
itnā maiñ ḳhuub samajhtā huuñ ki āsāñ to nahīñ
sahal ho garche adu ko magar us ka milna
itna main KHub samajhta hun ki aasan to nahin