Sher on Bekasi
In spite of all his
power and prowess, man is but only too frail. As such, man often reflects upon his helplessness. This helplessness has had many manifestations in our day-to-day personal and communal lives. Some reflections on the states of helplessness are shared here with you. .
ye sard raat ye āvārgī ye niiñd kā bojh
ham apne shahr meñ hote to ghar ga.e hote
ye sard raat ye aawargi ye nind ka bojh
hum apne shahr mein hote to ghar gae hote
-
Tags : Raatand 2 more
baat karnī mujhe mushkil kabhī aisī to na thī
jaisī ab hai tirī mahfil kabhī aisī to na thī
conversing has never been so diffficult for me
your company now is no more as it used to be
baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
jaisi ab hai teri mahfil kabhi aisi to na thi
conversing has never been so diffficult for me
your company now is no more as it used to be
mujh ko mirī shikast kī dohrī sazā milī
tujh se bichhaḌ ke zindagī duniyā se jā milī
mujh ko meri shikast ki dohri saza mili
tujh se bichhaD ke zindagi duniya se ja mili
maiñ boltā huuñ to ilzām hai baġhāvat kā
maiñ chup rahūñ to baḌī bebasī sī hotī hai
main bolta hun to ilzam hai baghawat ka
main chup rahun to baDi bebasi si hoti hai
aa.e hai bekasī-e-ishq pe ronā 'ġhālib'
kis ke ghar jā.egā sailāb-e-balā mere ba.ad
aae hai bekasi-e-ishq pe rona 'ghaalib'
kis ke ghar jaega sailab-e-bala mere baad
kashtiyāñ TuuT ga.ī haiñ saarī
ab liye phirtā hai dariyā ham ko
kashtiyan TuT gai hain sari
ab liye phirta hai dariya hum ko
zamīñ roī hamāre haal par aur āsmāñ royā
hamārī bekasī ko dekh kar saarā jahāñ royā
zamin roi hamare haal par aur aasman roya
hamari bekasi ko dekh kar sara jahan roya
sab ne ġhurbat meñ mujh ko chhoḌ diyā
ik mirī bekasī nahīñ jaatī
sab ne ghurbat mein mujh ko chhoD diya
ek meri bekasi nahin jati
āshiq kī be-kasī kā to aalam na pūchhiye
majnūñ pe kyā guzar ga.ī sahrā gavāh hai
aashiq ki be-kasi ka to aalam na puchhiye
majnun pe kya guzar gai sahra gawah hai
abas dil be-kasī pe apnī apnī har vaqt rotā hai
na kar ġham ai divāne ishq meñ aisā hī hotā hai
abas dil be-kasi pe apni apni har waqt rota hai
na kar gham ai diwane ishq mein aisa hi hota hai
āñkheñ bhī haa.e naza.a meñ apnī badal ga.iiñ
sach hai ki bekasī meñ koī āshnā nahīñ
aankhen bhi hae naza mein apni badal gain
sach hai ki bekasi mein koi aashna nahin
kar ke dafn apne parā.e chal diye
bekasī kā qabr par mātam rahā
kar ke dafn apne parae chal diye
bekasi ka qabr par matam raha
arī bekasī tere qurbān jā.ūñ
bure vaqt meñ ek tū rah ga.ī hai
ari bekasi tere qurban jaun
bure waqt mein ek tu rah gai hai
kyuuñ mozāhim hai mere aane se
kui tirā ghar nahīñ ye rastā hai
kyun mozahim hai mere aane se
kui tera ghar nahin ye rasta hai