Sher on Saya
Only those who suffer
the scorching rays of the blazing sun know the significance of shade. Shade is both a physical condition as well as a metaphor of pleasure and protection which stands in opposition to the sun, or such other sources that bring pain and suffering. This selection of shers on shade will bring to you a variety of experiences that you would enjoy when you go through them.
peḌ ke kāTne vāloñ ko ye mālūm to thā
jism jal jā.eñge jab sar pe na saaya hogā
peD ke kaTne walon ko ye malum to tha
jism jal jaenge jab sar pe na saya hoga
ajiib sāneha mujh par guzar gayā yaaro
maiñ apne saa.e se kal raat Dar gayā yaaro
ajib saneha mujh par guzar gaya yaro
main apne sae se kal raat Dar gaya yaro
koī tasvīr mukammal nahīñ hone paatī
dhuup dete haiñ to saayā nahīñ rahne dete
koi taswir mukammal nahin hone pati
dhup dete hain to saya nahin rahne dete
-
Tags : Dhoopand 1 more
kab dhuup chalī shaam Dhalī kis ko ḳhabar hai
ik umr se maiñ apne hī saa.e meñ khaḌā huuñ
kab dhup chali sham Dhali kis ko KHabar hai
ek umr se main apne hi sae mein khaDa hun
-
Tags : Dhoopand 1 more
dhuup saa.e kī tarah phail ga.ī
in daraḳhtoñ kī duā lene se
dhup sae ki tarah phail gai
in daraKHton ki dua lene se
log kahte haiñ ki saayā tire paikar kā nahīñ
maiñ to kahtā huuñ zamāne pe hai saayā terā
log kahte hain ki saya tere paikar ka nahin
main to kahta hun zamane pe hai saya tera
āsmāñ ek sulagtā huā sahrā hai jahāñ
DhūñDhtā phirtā hai ḳhud apnā hī saayā sūraj
aasman ek sulagta hua sahra hai jahan
DhunDhta phirta hai KHud apna hi saya suraj
-
Tag : Aasman
zarā ye dhuup Dhal jaa.e to un kā haal pūchheñge
yahāñ kuchh saa.e apne aap ko paikar batāte haiñ
zara ye dhup Dhal jae to un ka haal puchhenge
yahan kuchh sae apne aap ko paikar batate hain
-
Tag : Dhoop
vo mire saath hai saa.e kī tarah
dil kī zid hai ki nazar bhī aa.e
wo mere sath hai sae ki tarah
dil ki zid hai ki nazar bhi aae
-
Tag : Dil
raushnī meñ apnī shaḳhsiyat pe jab bhī sochnā
apne qad ko apne saa.e se bhī kam-tar dekhnā
raushni mein apni shaKHsiyat pe jab bhi sochna
apne qad ko apne sae se bhi kam-tar dekhna
-
Tag : Raushni
mire saa.e meñ us kā naqsh-e-pā hai
baḌā ehsān mujh par dhuup kā hai
mere sae mein us ka naqsh-e-pa hai
baDa ehsan mujh par dhup ka hai
-
Tag : Dhoop
is dasht-e-suḳhan meñ koī kyā phuul khilā.e
chamkī jo zarā dhuup to jalne lage saa.e
is dasht-e-suKHan mein koi kya phul khilae
chamki jo zara dhup to jalne lage sae
-
Tag : Dhoop
dhuup bolī ki maiñ ābā.ī vatan huuñ terā
maiñ ne phir sāya-e-dīvār ko zahmat nahīñ dī
dhup boli ki main aabai watan hun tera
main ne phir saya-e-diwar ko zahmat nahin di
-
Tag : Dhoop
tujh se judā hue to ye ho jā.eñge judā
baaqī kahāñ raheñge ye saa.e tire baġhair
tujh se juda hue to ye ho jaenge juda
baqi kahan rahenge ye sae tere baghair
yāroñ ne merī raah meñ dīvār khīñch kar
mash.hūr kar diyā ki mujhe saaya chāhiye
yaron ne meri rah mein diwar khinch kar
mashhur kar diya ki mujhe saya chahiye
dhuup baḌhte hī judā ho jā.egā
sāya-e-dīvār bhī dīvār se
dhup baDhte hi juda ho jaega
saya-e-diwar bhi diwar se
-
Tag : Dhoop
Dhalte sūraj kī tamāzat ne bikhar kar dekhā
sar-kashīda mirā saayā saf-e-ashjār ke biich
Dhalte suraj ki tamazat ne bikhar kar dekha
sar-kashida mera saya saf-e-ashjar ke bich
zindagī dhuup meñ aane se khulī
saaya dīvār uThāne se khulā
zindagi dhup mein aane se khuli
saya diwar uThane se khula
-
Tag : Zindagi
ham ek fikr ke paikar haiñ ik ḳhayāl ke phuul
tirā vajūd nahīñ hai to merā saayā nahīñ
hum ek fikr ke paikar hain ek KHayal ke phul
tera wajud nahin hai to mera saya nahin
-
Tag : Wajood
dhuup javānī kā yārāna apnī jagah
thak jaatā hai jism to saaya māñgtā hai
dhup jawani ka yarana apni jagah
thak jata hai jism to saya mangta hai
vo aur hoñge jo kār-e-havas pe zinda haiñ
maiñ us kī dhuup se saaya badal ke aayā huuñ
wo aur honge jo kar-e-hawas pe zinda hain
main us ki dhup se saya badal ke aaya hun
-
Tag : Dhoop
tārīkiyoñ ne ḳhud ko milāyā hai dhuup meñ
saaya jo shaam kā nazar aaya hai dhuup meñ
tarikiyon ne KHud ko milaya hai dhup mein
saya jo sham ka nazar aaya hai dhup mein
-
Tags : Dhoopand 1 more
saaya bhī saath chhoḌ gayā ab to ai 'asar'
phir kis liye maiñ aaj ko kal se judā karūñ
saya bhi sath chhoD gaya ab to ai 'asar'
phir kis liye main aaj ko kal se juda karun
zāviya dhuup ne kuchh aisā banāyā hai ki ham
saa.e ko jism kī jumbish se judā dekhte haiñ
zawiya dhup ne kuchh aisa banaya hai ki hum
sae ko jism ki jumbish se juda dekhte hain
-
Tag : Dhoop
rishte naate TuuTe phūTe lage haiñ
jab bhī apnā saaya saath nahīñ hotā
rishte nate TuTe phuTe lage hain
jab bhi apna saya sath nahin hota
vo tapish hai ki jal uThe saa.e
dhuup rakkhī thī sā.ebān meñ kyā
wo tapish hai ki jal uThe sae
dhup rakkhi thi saeban mein kya
-
Tag : Dhoop
sabhī insāñ farishte ho ga.e haiñ
kisī dīvār meñ saaya nahīñ hai
sabhi insan farishte ho gae hain
kisi diwar mein saya nahin hai
ham tire saa.e meñ kuchh der Thaharte kaise
ham ko jab dhuup se vahshat nahīñ karnī aa.ī
hum tere sae mein kuchh der Thaharte kaise
hum ko jab dhup se wahshat nahin karni aai
-
Tags : Dhoopand 1 more
kisī kī raah meñ aane kī ye bhī sūrat hai
ki saaya ke liye dīvār ho liyā jaa.e
kisi ki rah mein aane ki ye bhi surat hai
ki saya ke liye diwar ho liya jae
qadam qadam koī saaya sā muttasil to rahe
sarāb kā ye sar-e-silsila darāz to ho
qadam qadam koi saya sa muttasil to rahe
sarab ka ye sar-e-silsila daraaz to ho
dhuup mujh ko jo liye phirtī hai saa.e saa.e
hai to āvāra magar zehn meñ ghar rakhtī hai
dhup mujh ko jo liye phirti hai sae sae
hai to aawara magar zehn mein ghar rakhti hai
-
Tag : Dhoop
vo vahshī is qadar bhaḌkā hai sūrat se mire yaaro
ki apne dekh saa.e ko mujhe hamrāh jaane hai
wo wahshi is qadar bhaDka hai surat se mere yaro
ki apne dekh sae ko mujhe hamrah jaane hai