Sher on Sarhad
Border represents a
dividing line between peoples and nations. Poetry, however, negates all divisions and partitions. As such, poets have written much about partition. Here, we bring together a selection of verses that would be of interest to you.
mohabbat kī to koī had, koī sarhad nahīñ hotī
hamāre darmiyāñ ye fāsle, kaise nikal aa.e
mohabbat ki to koi had, koi sarhad nahin hoti
hamare darmiyan ye fasle, kaise nikal aae
-
Tags : Faslaand 2 more
sarhadeñ achchhī ki sarhad pe na ruknā achchhā
sochiye aadmī achchhā ki parinda achchhā
sarhaden achchhi ki sarhad pe na rukna achchha
sochiye aadmi achchha ki parinda achchha
-
Tag : Partition
raushnī bāñTtā huuñ sarhadoñ ke paar bhī maiñ
ham-vatan is liye ġhaddār samajhte haiñ mujhe
raushni banTta hun sarhadon ke par bhi main
ham-watan is liye ghaddar samajhte hain mujhe
us mulk kī sarhad ko koī chhū nahīñ saktā
jis mulk kī sarhad kī nigahbān haiñ āñkheñ
us mulk ki sarhad ko koi chhu nahin sakta
jis mulk ki sarhad ki nigahban hain aankhen
-
Tags : Deshbhaktiand 1 more
jaise do mulkoñ ko ik sarhad alag kartī huī
vaqt ne ḳhat aisā khīñchā mere us ke darmiyāñ
jaise do mulkon ko ek sarhad alag karti hui
waqt ne KHat aisa khincha mere us ke darmiyan
-
Tag : Waqt
hamārā ḳhuun kā rishta hai sarhadoñ kā nahīñ
hamāre ḳhuun meñ gañgā bhī chanāb bhī hai
hamara KHun ka rishta hai sarhadon ka nahin
hamare KHun mein ganga bhi chanab bhi hai
sarhadeñ rok na pā.eñgī kabhī rishtoñ ko
ḳhushbūoñ par na kabhī koī bhī pahrā niklā
sarhaden rok na paengi kabhi rishton ko
KHushbuon par na kabhi koi bhi pahra nikla
-
Tag : Relationship
zamīñ ko ai ḳhudā vo zalzala de
nishāñ tak sarhadoñ ke jo miTā de
zamin ko ai KHuda wo zalzala de
nishan tak sarhadon ke jo miTa de
shahr-e-lahore se kuchh duur nahīñ hai dehlī
ek sarhad hai kisī vaqt bhī miT saktī hai
shahr-e-lahore se kuchh dur nahin hai dehli
ek sarhad hai kisi waqt bhi miT sakti hai
diloñ ke biich na dīvār hai na sarhad hai
dikhā.ī dete haiñ sab fāsle nazar ke mujhe
dilon ke bich na diwar hai na sarhad hai
dikhai dete hain sab fasle nazar ke mujhe