zahr de de na koi ghol ke paimane mein
zahr de de na koī ghol ke paimāne meñ
ab to jī Dartā hai ḳhud apne hī maiḳhāne meñ
saarā maazī mirī āñkhoñ meñ simaT aayā hai
maiñ ne kuchh shahr basā rakkhā haiñ vīrāne meñ
be-sabab kaise badal saktā hai rindoñ kā mizāj
kuchh ġhalat log chale aa.e haiñ maiḳhāne meñ
jām-e-jam se nigah-e-tauba-shikan tak saaqī
puurī rūdād hai TuuTe hue paimāne meñ
pyaas kāñToñ ko bujhātā hai lahū se apne
kitnī bāliġh-nazarī hai mirī dīvāne meñ
mujh pe tanqīd bhī hotī hai to alqāb ke saath
kam se kam itnā salīqa to hai begāne meñ
is ko kyā kahte haiñ 'iqbāl' kisī se pūchho
dil na ab shahr meñ lagtā hai na vīrāne meñ
zahr de de na koi ghol ke paimane mein
ab to ji Darta hai KHud apne hi maiKHane mein
sara mazi meri aankhon mein simaT aaya hai
main ne kuchh shahr basa rakkha hain virane mein
be-sabab kaise badal sakta hai rindon ka mizaj
kuchh ghalat log chale aae hain maiKHane mein
jam-e-jam se nigah-e-tauba-shikan tak saqi
puri rudad hai TuTe hue paimane mein
pyas kanTon ko bujhata hai lahu se apne
kitni baaligh-nazari hai meri diwane mein
mujh pe tanqid bhi hoti hai to alqab ke sath
kam se kam itna saliqa to hai begane mein
is ko kya kahte hain 'iqbaal' kisi se puchho
dil na ab shahr mein lagta hai na virane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.