ai mere ham-nashin chal kahin aur chal is chaman mein ab apna guzara nahin
ai mere ham-nashin chal kahin aur chal is chaman mein ab apna guzara nahin
Qamar Jalalvi
MORE BYQamar Jalalvi
ai mire ham-nashīñ chal kahīñ aur chal is chaman meñ ab apnā guzāra nahīñ
baat hotī guloñ tak to sah lete ham ab to kāñToñ pe bhī haq hamārā nahīñ
aaj aa.e ho tum kal chale jāoge ye mohabbat ko apnī gavāra nahīñ
umr bhar kā sahārā bano to bano do ghaḌī kā sahārā sahārā nahīñ
dī sadā daar par aur kabhī tuur par kis jagah maiñ ne tum ko pukārā nahīñ
Thokareñ yuuñ khilāne se kyā fā.eda saaf kah do ki milnā gavāra nahīñ
gulsitāñ ko lahū kī zarūrat paḌī sab se pahle hī gardan hamārī kaTī
phir bhī kahte haiñ mujh se ye ahl-e-chaman ye chaman hai hamārā tumhārā nahīñ
zālimo apnī qismat pe nāzāñ na ho daur badlegā ye vaqt kī baat hai
vo yaqīnan sunegā sadā.eñ mirī kyā tumhārā ḳhudā hai hamārā nahīñ
apnī zulfoñ ko ruḳh se haTā lījiye merā zauq-e-nazar aazmā lījiye
aaj ghar se chalā huuñ yahī soch kar yā to nazreñ nahīñ yā nazāra nahīñ
jaane kis kī lagan kis ke dhun meñ magan ham ko jaate hue muḌ ke dekhā nahīñ
ham ne āvāz par tum ko āvāz dī phir bhī kahte haiñ ham ne pukārā nahīñ
ai mere ham-nashin chal kahin aur chal is chaman mein ab apna guzara nahin
baat hoti gulon tak to sah lete hum ab to kanTon pe bhi haq hamara nahin
aaj aae ho tum kal chale jaoge ye mohabbat ko apni gawara nahin
umr bhar ka sahaara bano to bano do ghaDi ka sahaara sahaara nahin
di sada dar par aur kabhi tur par kis jagah main ne tum ko pukara nahin
Thokaren yun khilane se kya faeda saf kah do ki milna gawara nahin
gulsitan ko lahu ki zarurat paDi sab se pahle hi gardan hamari kaTi
phir bhi kahte hain mujh se ye ahl-e-chaman ye chaman hai hamara tumhaara nahin
zalimo apni qismat pe nazan na ho daur badlega ye waqt ki baat hai
wo yaqinan sunega sadaen meri kya tumhaara KHuda hai hamara nahin
apni zulfon ko ruKH se haTa lijiye mera zauq-e-nazar aazma lijiye
aaj ghar se chala hun yahi soch kar ya to nazren nahin ya nazara nahin
jaane kis ki lagan kis ke dhun mein magan hum ko jate hue muD ke dekha nahin
hum ne aawaz par tum ko aawaz di phir bhi kahte hain hum ne pukara nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.