aa tere sang zara peng baDhai jae
aa tire sañg zarā peñg baḌhā.ī jaa.e
zindagī baiTh tujhe chaa.e pilā.ī jaa.e
yaar bas itnā hī to chāhte haiñ ham tujh se
yaarī kī jaa.e to phir yaarī nibhā.ī jaa.e
jaisī hai jitnī hai auqāt se baḌh kar hai mujhe
kyuuñ zarūrat se sivā naak baḌhā.ī jaa.e
jab bhī maiñ kartā kah lete ho apne man kī
kabhī merī bhī sunī jaa.e sunā.ī jaa.e
ḳhvāb dikhlā.eñ magar ḳhvāb kī tābīr na deñ
bhaaḌ meñ aise ḳhudāoñ kī ḳhudā.ī jaa.e
aa tere sang zara peng baDhai jae
zindagi baiTh tujhe chae pilai jae
yar bas itna hi to chahte hain hum tujh se
yari ki jae to phir yari nibhai jae
jaisi hai jitni hai auqat se baDh kar hai mujhe
kyun zarurat se siwa nak baDhai jae
jab bhi main karta kah lete ho apne man ki
kabhi meri bhi suni jae sunai jae
KHwab dikhlaen magar KHwab ki tabir na den
bhaD mein aise KHudaon ki KHudai jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.