Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj ki raat kaTegi kyun kar saz na jam na to mehman

Ibn-e-Safi

aaj ki raat kaTegi kyun kar saz na jam na to mehman

Ibn-e-Safi

MORE BYIbn-e-Safi

    aaj raat kaTegī kyuuñ kar saaz na jaam na to mehmān

    sub.h talak kyā jāniye kyā ho aañkh lage jaa.e jaan

    pichhlī raat sannāTā kahtā hai ab kyā ā.eñge

    aql ye kahtī hai so jaao dil kahtā hai ek na maan

    mulk-e-tarab ke rahne vaalo ye kaisī majbūrī hai

    hoñToñ bastī meñ charāġhāñ dil ke nagar itne sunsān

    un bāñhoñ ke halqe meñ ishq banā hai pīr-e-tarīq

    ab aise meñ batāo yaaro kis kufr kidhar īmān

    ham na kaheñge aap ke aage ro ro diide kho.e haiñ

    aap ne biptā sun hamārī baḌā karam lākhoñ ehsān

    aaj ki raat kaTegi kyun kar saz na jam na to mehman

    subh talak kya jaaniye kya ho aankh lage ya jae jaan

    pichhli raat ka sannaTa kahta hai ab kya aaenge

    aql ye kahti hai so jao dil kahta hai ek na man

    mulk-e-tarab ke rahne walo ye kaisi majburi hai

    honTon ki basti mein charaghan dil ke nagar itne sunsan

    un ki banhon ke halqe mein ishq bana hai pir-e-tariq

    ab aise mein batao yaro kis ja kufr kidhar iman

    hum na kahenge aap ke aage ro ro dide khoe hain

    aap ne bipta sun li hamari baDa karam lakhon ehsan

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    aaj ki raat kaTegi kyun kar saz na jam na to mehman Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now