aaj kis ka jalwa-e-rangin numayan ho gaya
aaj kis kā jalva-e-rangīñ numāyāñ ho gayā
jalva jalva rashk se sar-dar-garebāñ ho gayā
kaun ye jalva-tarāz-e-bazm-e-imkāñ ho gayā
kis ke nūr-e-husn se aalam charāġhāñ ho gayā
sehn-e-gulshan meñ ye kis ne naaz se añgḌā.ī lī
chāk-e-dil har phuul kā chāk-e-garebāñ ho gayā
hasrat-o-armān kī mayyat hai ek ek ashk-e-tar
merā dāman bastī-e-gor-e-ġharībāñ ho gayā
phir bahār aa.ī huā phir muztarib dast-e-junūñ
ḳhair se phir ārzū-e-dil kā sāmāñ ho gayā
har gul-e-tar ho gayā jām-e-sharāb-e-arġhavāñ
mai-kada-bar-dosh ab saarā gulistāñ ho gayā
apne qaid-o-band kā 'jauhar' nahīñ mutlaq alam
ye ḳhushī hai ham se ābād un kā zindāñ ho gayā
aaj kis ka jalwa-e-rangin numayan ho gaya
jalwa jalwa rashk se sar-dar-gareban ho gaya
kaun ye jalwa-taraaz-e-bazm-e-imkan ho gaya
kis ke nur-e-husn se aalam charaghan ho gaya
sehn-e-gulshan mein ye kis ne naz se angDai li
chaak-e-dil har phul ka chaak-e-gareban ho gaya
hasrat-o-arman ki mayyat hai ek ek ashk-e-tar
mera daman basti-e-gor-e-ghariban ho gaya
phir bahaar aai hua phir muztarib dast-e-junun
KHair se phir aarzu-e-dil ka saman ho gaya
har gul-e-tar ho gaya jam-e-sharab-e-arghawan
mai-kada-bar-dosh ab sara gulistan ho gaya
apne qaid-o-band ka 'jauhar' nahin mutlaq alam
ye KHushi hai hum se aabaad un ka zindan ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.