aankhon ki nadi sukh gai phir bhi hara hai
āñkhoñ kī nadī suukh ga.ī phir bhī harā hai
vo dard kā paudā jo mire dil meñ ugā hai
jaañ de ke bhī chāhūñ to use pā na sakūñ maiñ
vo chāñd kā TukḌā jo darīche meñ jaḌā hai
sailāb haiñ chehroñ ke to āvāz ke dariyā
ye shahr-e-tamannā to nahīñ dasht-e-sadā hai
'asġhar' ye safar shauq kā ab kaise kaTegā
jo ham ne tarāshā thā vo but TuuT gayā hai
aankhon ki nadi sukh gai phir bhi hara hai
wo dard ka pauda jo mere dil mein uga hai
jaan de ke bhi chahun to use pa na sakun main
wo chand ka TukDa jo dariche mein jaDa hai
sailab hain chehron ke to aawaz ke dariya
ye shahr-e-tamanna to nahin dasht-e-sada hai
'asghar' ye safar shauq ka ab kaise kaTega
jo hum ne tarasha tha wo but TuT gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.