aapne aaj ye mahfil jo sajai hui hai
aap ne aaj ye mahfil jo sajā.ī huī hai
baat us kī hī faqat bazm meñ chhā.ī huī hai
is qadar naaz na kiije ki buzurgoñ ne bahut
bārhā bazm-e-ḳhud-ārā.ī sajā.ī huī hai
is qadar shor hai kyuuñ surḳhi-e-aḳhbār pe aaj
jabki mālūm hai har baat banā.ī huī hai
aaj to chain se rone do mujhe goshe meñ
ek muddat pe ġham-e-dil se judā.ī huī hai
sharm mat kījiye le liije sahārā merā
maat ham ne bhī bahut aap se khaa.ī huī hai
aaj ham kyuuñ na kaheñ mohr-ba-lab kyuuñ rah jaa.eñ
mai-kade meñ baḌī mushkil se rasā.ī huī hai
aaj be-fikr bahut haiñ ki koī baar nahīñ
sarf arbāb pe sab din kī kamā.ī huī hai
faḳhr zebā hai ki muddat pe kahīñ jā ke mirī
ab talabgār ḳhudā kī ye ḳhudā.ī huī hai
aap ne aaj ye mahfil jo sajai hui hai
baat us ki hi faqat bazm mein chhai hui hai
is qadar naz na kije ki buzurgon ne bahut
barha bazm-e-KHud-arai sajai hui hai
is qadar shor hai kyun surKHi-e-aKHbar pe aaj
jabki malum hai har baat banai hui hai
aaj to chain se rone do mujhe goshe mein
ek muddat pe gham-e-dil se judai hui hai
sharm mat kijiye le lije sahaara mera
mat hum ne bhi bahut aap se khai hui hai
aaj hum kyun na kahen mohr-ba-lab kyun rah jaen
mai-kade mein baDi mushkil se rasai hui hai
aaj be-fikr bahut hain ki koi bar nahin
sarf arbab pe sab din ki kamai hui hai
faKHr zeba hai ki muddat pe kahin ja ke meri
ab talabgar KHuda ki ye KHudai hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.