ab tumko hi sawan ka sandesa nahin banna
ab tum ko hī sāvan kā sandesa nahīñ banñā
mujh ko bhī kisī aur kā rasta nahīñ banñā
kahtī hai ki āñkhoñ se samundar ko nikālo
hañstī hai ki tum se to kināra nahīñ banñā
mohtāt hai itnī ki kabhī ḳhat nahīñ likhtī
kahtī hai mujhe auroñ ke jaisā nahīñ banñā
tasvīr banā.ūñ to bigaḌ jaatī hai mujh se
aisā nahīñ banñā mujhe vaisā nahīñ banñā
is tarah ke lab kaun tarāshegā dobāra
is tarah kā chehra to kisī kā nahīñ banñā
chehre pe kisī aur kī palkeñ nahīñ jhuktī
āñkhoñ meñ kisī aur kā naqsha nahīñ banñā
maiñ soch rahā huuñ ki maiñ huuñ bhī ki nahīñ huuñ
tum zid pe aḌī ho ki kisī kā nahīñ banñā
maiñ raat kī īñTeñ to bahut joḌ rahā huuñ
par mujh se tere din kā darīcha nahīñ banñā
inkār to yuuñ kartī hai jaise ki kabhī bhī
chhāñv nahīñ banñā use saayā nahīñ banñā
is dard kī tahvīl meñ rahte hue ham ko
chup-chāp bikharnā hai tamāshā nahīñ banñā
us ne mujhe rakhnā hī nahīñ āñkhoñ meñ 'āmir'
aur mujh se koī aur Thikāna nahīñ banñā
ab tum ko hi sawan ka sandesa nahin banna
mujh ko bhi kisi aur ka rasta nahin banna
kahti hai ki aankhon se samundar ko nikalo
hansti hai ki tum se to kinara nahin banna
mohtat hai itni ki kabhi KHat nahin likhti
kahti hai mujhe auron ke jaisa nahin banna
taswir banaun to bigaD jati hai mujh se
aisa nahin banna mujhe waisa nahin banna
is tarah ke lab kaun tarashega dobara
is tarah ka chehra to kisi ka nahin banna
chehre pe kisi aur ki palken nahin jhukti
aankhon mein kisi aur ka naqsha nahin banna
main soch raha hun ki main hun bhi ki nahin hun
tum zid pe aDi ho ki kisi ka nahin banna
main raat ki inTen to bahut joD raha hun
par mujh se tere din ka daricha nahin banna
inkar to yun karti hai jaise ki kabhi bhi
chhanw nahin banna use saya nahin banna
is dard ki tahwil mein rahte hue hum ko
chup-chap bikharna hai tamasha nahin banna
us ne mujhe rakhna hi nahin aankhon mein 'amir'
aur mujh se koi aur Thikana nahin banna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.