adu kambaKHt ko sauda hai kuchh aisa judai ka
adu kambaKHt ko sauda hai kuchh aisa judai ka
Master Basit Biswani
MORE BYMaster Basit Biswani
adū kambaḳht ko saudā hai kuchh aisā judā.ī kā
liye sar par phirā kartā hai Dhāñcha chārpā.ī kā
kabhī tum mujh ko dhar paTko kabhī maiñ tum ko de mārūñ
mazā us vaqt hai ai jān-e-jāñ is hāthā-pā.ī kā
ye kyā paḌh paḌh ke dam karte ho chupke se hasīnoñ par
uThā hī chāhtā hai shaiḳh parda pārsā.ī kā
sar-e-mahfil raqīb-e-rū-siyah kā Tetvā pakḌā
machāyā shor buzdil ne duhā.ī kā tihā.ī kā
tumheñ jab maiñ ne dhar DapTā to koī bhī nahīñ bolā
bahut hī dam bharā karte the aadā āshnā.ī kā
maiñ dil par choT khā.ūñ un parī-rūoñ ke hāthoñ se
mujhe nusḳha agar koī batā de momyā.ī kā
sar-e-mahfil har ik se be-jhijhak āñkheñ laḌātā hai
uThāyā hai but-e-pur-fan ne kyā beḌā DhiTā.ī kā
adu kambaKHt ko sauda hai kuchh aisa judai ka
liye sar par phira karta hai Dhancha chaarpai ka
kabhi tum mujh ko dhar paTko kabhi main tum ko de marun
maza us waqt hai ai jaan-e-jaan is hatha-pai ka
ye kya paDh paDh ke dam karte ho chupke se hasinon par
uTha hi chahta hai shaiKH parda parsai ka
sar-e-mahfil raqib-e-ru-siyah ka Tetwa pakDa
machaya shor buzdil ne duhai ka tihai ka
tumhein jab main ne dhar DapTa to koi bhi nahin bola
bahut hi dam bhara karte the aada aashnai ka
main dil par choT khaun un pari-ruon ke hathon se
mujhe nusKHa agar koi bata de momyai ka
sar-e-mahfil har ek se be-jhijhak aankhen laData hai
uThaya hai but-e-pur-fan ne kya beDa DhiTai ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.