apna to chahaton mein yahi ek usul hai
apnā to chāhatoñ meñ yahī ik usuul hai
terā bhalā-burā hameñ sab kuchh qubūl hai
ye umr-bhar kā jāgnā be-kār hī na jaa.e
to naañ milā to saarī riyāzat fuzūl hai
ḳhud hī kahā thā tū ne mirī jaan chhoḌ de
ab chhoḌ dī to kyuuñ tirā chehra malūl hai
ai maañ ye merī shohrateñ merī ye izzateñ
kuchh bhī nahīñ hai bas tire qadmoñ kī dhuul hai
aa.ī jo terī yaad to āñkheñ baras paḌīñ
is vaqt tere dard kā dil par nuzūl hai
ik dūsre ke vāste donoñ bane 'vasī'
gul-dān merā dil hai tirī yaad phuul hai
apna to chahaton mein yahi ek usul hai
tera bhala-bura hamein sab kuchh qubul hai
ye umr-bhar ka jagna be-kar hi na jae
to nan mila to sari riyazat fuzul hai
KHud hi kaha tha tu ne meri jaan chhoD de
ab chhoD di to kyun tera chehra malul hai
ai man ye meri shohraten meri ye izzaten
kuchh bhi nahin hai bas tere qadmon ki dhul hai
aai jo teri yaad to aankhen baras paDin
is waqt tere dard ka dil par nuzul hai
ek dusre ke waste donon bane 'wasi'
gul-dan mera dil hai teri yaad phul hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.