bandh len hath pe sine pe saja len tumko
bāñdh leñ haath pe siine pe sajā leñ tum ko
jī meñ aatā hai ki ta.avīz banā leñ tum ko
phir tumheñ roz sañvāreñ tumheñ baḌhtā dekheñ
kyuuñ na āñgan meñ chamelī sā lagā leñ tum ko
jaise bāloñ meñ koī phuul chunā kartā hai
ghar ke gul-dān meñ phūloñ sā sajā leñ tum ko
kyā ajab ḳhvāhisheñ uThtī haiñ hamāre dil meñ
kar ke munnā sā havāoñ meñ uchhāleñ tum ko
is qadar TuuT ke tum pe hameñ pyaar aatā hai
apnī bāñhoñ meñ bhareñ maar hī Dāleñ tum ko
kabhī ḳhvāboñ kī tarah aañkh ke parde meñ raho
kabhī ḳhvāhish kī tarah dil meñ bulā leñ tum ko
hai tumhāre liye kuchh aisī aqīdat dil meñ
apne hāthoñ meñ duāoñ sā uThā leñ tum ko
jaan dene kī ijāzat bhī nahīñ dete ho
varna mar jaa.eñ abhī mar ke manā leñ tum ko
jis tarah raat ke siine meñ hai mahtāb kā nuur
apne tārīk makānoñ meñ sajā leñ tum ko
ab to bas ek hī ḳhvāhish hai kisī moḌ par tum
ham ko bikhre hue mil jaao sambhāleñ tum ko
bandh len hath pe sine pe saja len tum ko
ji mein aata hai ki tawiz bana len tum ko
phir tumhein roz sanwaren tumhein baDhta dekhen
kyun na aangan mein chameli sa laga len tum ko
jaise baalon mein koi phul chuna karta hai
ghar ke gul-dan mein phulon sa saja len tum ko
kya ajab KHwahishen uThti hain hamare dil mein
kar ke munna sa hawaon mein uchhaalen tum ko
is qadar TuT ke tum pe hamein pyar aata hai
apni banhon mein bharen mar hi Dalen tum ko
kabhi KHwabon ki tarah aankh ke parde mein raho
kabhi KHwahish ki tarah dil mein bula len tum ko
hai tumhaare liye kuchh aisi aqidat dil mein
apne hathon mein duaon sa uTha len tum ko
jaan dene ki ijazat bhi nahin dete ho
warna mar jaen abhi mar ke mana len tum ko
jis tarah raat ke sine mein hai mahtab ka nur
apne tarik makanon mein saja len tum ko
ab to bas ek hi KHwahish hai kisi moD par tum
hum ko bikhre hue mil jao sambhaalen tum ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.