barish hui to phulon ke tan chaak ho gae
bārish huī to phūloñ ke tan chaak ho ga.e
mausam ke haath bhiig ke saffāk ho ga.e
bādal ko kyā ḳhabar hai ki bārish kī chaah meñ
kaise buland-o-bālā shajar ḳhaak ho ga.e
jugnū ko din ke vaqt parakhne kī zid kareñ
bachche hamāre ahd ke chālāk ho ga.e
lahrā rahī hai barf kī chādar haTā ke ghaas
sūraj kī shah pe tinke bhī bebāk ho ga.e
bastī meñ jitne āb-gazīda the sab ke sab
dariyā ke ruḳh badalte hī tairāk ho ga.e
sūraj-dimāġh log bhī ablāġh-e-fikr meñ
zulf-e-shab-e-firāq ke pechāk ho ga.e
jab bhī ġharīb-e-shahr se kuchh guftugū huī
lahje havā-e-shām ke namnāk ho ga.e
barish hui to phulon ke tan chaak ho gae
mausam ke hath bhig ke saffak ho gae
baadal ko kya KHabar hai ki barish ki chah mein
kaise buland-o-baala shajar KHak ho gae
jugnu ko din ke waqt parakhne ki zid karen
bachche hamare ahd ke chaalak ho gae
lahra rahi hai barf ki chadar haTa ke ghas
suraj ki shah pe tinke bhi bebak ho gae
basti mein jitne aab-gazida the sab ke sab
dariya ke ruKH badalte hi tairak ho gae
suraj-dimagh log bhi ablagh-e-fikr mein
zulf-e-shab-e-firaq ke pechaak ho gae
jab bhi gharib-e-shahr se kuchh guftugu hui
lahje hawa-e-sham ke namnak ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.