bahut pahle se un qadmon ki aahaT jaan lete hain
bahut pahle se un qadmoñ kī aahaT jaan lete haiñ
tujhe ai zindagī ham duur se pahchān lete haiñ
mirī nazreñ bhī aise qātiloñ kā jaan o īmāñ haiñ
nigāheñ milte hī jo jaan aur īmān lete haiñ
jise kahtī hai duniyā kāmyābī vaa.e nā-dānī
use kin qīmatoñ par kāmyāb insān lete haiñ
nigāh-e-bāda-gūñ yuuñ to tirī bātoñ kā kyā kahnā
tirī har baat lekin ehtiyātan chhān lete haiñ
tabī.at apnī ghabrātī hai jab sunsān rātoñ meñ
ham aise meñ tirī yādoñ kī chādar taan lete haiñ
ḳhud apnā faisla bhī ishq meñ kaafī nahīñ hotā
use bhī kaise kar guzreñ jo dil meñ Thaan lete haiñ
hayāt-e-ishq kā ik ik nafas jām-e-shahādat hai
vo jān-e-nāz-bardārāñ koī āsān lete haiñ
ham-āhañgī meñ bhī ik chāshnī hai iḳhtilāfoñ kī
mirī bāteñ ba-unvān-e-digar vo maan lete haiñ
tirī maqbūliyat kī vaj.h vāhid terī ramziyyat
ki us ko mānte hī kab haiñ jis ko jaan lete haiñ
ab is ko kufr māneñ yā bulandī-e-nazar jāneñ
ḳhudā-e-do-jahāñ ko de ke ham insān lete haiñ
jise sūrat batāte haiñ pata detī hai sīrat kā
ibārat dekh kar jis tarah ma.anī jaan lete haiñ
tujhe ghāTā na hone deñge kārobār-e-ulfat meñ
ham apne sar tirā ai dost har ehsān lete haiñ
hamārī har nazar tujh se na.ī saugandh khātī hai
to terī har nazar se ham nayā paimān lete haiñ
rafīq-e-zindagī thī ab anīs-e-vaqt-e-āḳhir hai
tirā ai maut ham ye dūsrā ehsān lete haiñ
zamāna vārdāt-e-qalb sunñe ko tarastā hai
isī se to sar āñkhoñ par mirā dīvān lete haiñ
'firāq' aksar badal kar bhes miltā hai koī kāfir
kabhī ham jaan lete haiñ kabhī pahchān lete haiñ
bahut pahle se un qadmon ki aahaT jaan lete hain
tujhe ai zindagi hum dur se pahchan lete hain
meri nazren bhi aise qatilon ka jaan o iman hain
nigahen milte hi jo jaan aur iman lete hain
jise kahti hai duniya kaamyabi wae na-dani
use kin qimaton par kaamyab insan lete hain
nigah-e-baada-gun yun to teri baaton ka kya kahna
teri har baat lekin ehtiyatan chhan lete hain
tabiat apni ghabraati hai jab sunsan raaton mein
hum aise mein teri yaadon ki chadar tan lete hain
KHud apna faisla bhi ishq mein kafi nahin hota
use bhi kaise kar guzren jo dil mein Than lete hain
hayat-e-ishq ka ek ek nafas jam-e-shahadat hai
wo jaan-e-naz-bardaran koi aasan lete hain
ham-ahangi mein bhi ek chashni hai iKHtilafon ki
meri baaten ba-unwan-e-digar wo man lete hain
teri maqbuliyat ki wajh wahid teri ramziyyat
ki us ko mante hi kab hain jis ko jaan lete hain
ab is ko kufr manen ya bulandi-e-nazar jaanen
KHuda-e-do-jahan ko de ke hum insan lete hain
jise surat batate hain pata deti hai sirat ka
ibarat dekh kar jis tarah mani jaan lete hain
tujhe ghaTa na hone denge karobar-e-ulfat mein
hum apne sar tera ai dost har ehsan lete hain
hamari har nazar tujh se nai saugandh khati hai
to teri har nazar se hum naya paiman lete hain
rafiq-e-zindagi thi ab anis-e-waqt-e-aKHir hai
tera ai maut hum ye dusra ehsan lete hain
zamana wardat-e-qalb sunne ko tarasta hai
isi se to sar aankhon par mera diwan lete hain
'firaq' aksar badal kar bhes milta hai koi kafir
kabhi hum jaan lete hain kabhi pahchan lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.