baiThe the log pahlu-ba-pahlu piye hue
baiThe the log pahlū-ba-pahlū piye hue
ik ham the terī bazm meñ aañsū piye hue
dekhā jise bhī us kī mohabbat meñ mast thā
jaise tamām shahr ho daarū piye hue
takrār be-sabab to na thī rind o shaiḳh meñ
karte bhī kyā sharāb the har do piye hue
phir kyā ajab ki log banā leñ kahāniyāñ
kuchh maiñ nashe meñ chuur thā kuchh tū piye hue
yuuñ un laboñ ke mas se mo.attar huuñ jis tarah
vo nau-bahār-e-nāz thā ḳhushbū piye hue
yuuñ ho agar 'farāz' to tasvīr kyā bane
ik shaam us ke saath lab-e-jū piye hue
baiThe the log pahlu-ba-pahlu piye hue
ek hum the teri bazm mein aansu piye hue
dekha jise bhi us ki mohabbat mein mast tha
jaise tamam shahr ho daru piye hue
takrar be-sabab to na thi rind o shaiKH mein
karte bhi kya sharab the har do piye hue
phir kya ajab ki log bana len kahaniyan
kuchh main nashe mein chur tha kuchh tu piye hue
yun un labon ke mas se moattar hun jis tarah
wo nau-bahaar-e-naz tha KHushbu piye hue
yun ho agar 'faraaz' to taswir kya bane
ek sham us ke sath lab-e-ju piye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.