chahta hun ki tera hijr musibat na lage
chāhtā huuñ ki tirā hijr musībat na lage
ab koī zaḳhm tire ġham kī badaulat na lage
us kī yādoñ kā safar ḳhatm karūñ ro.e baġhair
ġhair mumkin hai ki is kaam meñ hikmat na lage
zarf TuuTe hue kashkol se gir saktā hai
aisī imdād se bachnā jo saḳhāvat na lage
shahr-dar-shahr mujhe ḳhaak uḌānī hai magar
is pe ye shart masāfat bhī masāfat na lage
aao a.amāl-tarāshī kī rehearsal kar leñ
taaki jab us ko pukāreñ to mashaqqat na lage
ek sajda mirī peshānī ko darkār hai jo
hasb-e-taufīq lage hasb-e-zarūrat na lage
tab maiñ samjhūñgā ki is nafs ne khaa.ī hai shikast
rā.egāñ shai jo mujhe māl-e-ġhanīmat na lage
chahta hun ki tera hijr musibat na lage
ab koi zaKHm tere gham ki badaulat na lage
us ki yaadon ka safar KHatm karun roe baghair
ghair mumkin hai ki is kaam mein hikmat na lage
zarf TuTe hue kashkol se gir sakta hai
aisi imdad se bachna jo saKHawat na lage
shahr-dar-shahr mujhe KHak uDani hai magar
is pe ye shart masafat bhi masafat na lage
aao aamal-tarashi ki rehearsal kar len
taki jab us ko pukaren to mashaqqat na lage
ek sajda meri peshani ko darkar hai jo
hasb-e-taufiq lage hasb-e-zarurat na lage
tab main samjhunga ki is nafs ne khai hai shikast
raegan shai jo mujhe mal-e-ghanimat na lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.