chaaragaron ne bandh diya mujhko baKHt se
chāragaroñ ne bāñdh diyā mujh ko baḳht se
chhāñv milī na mujh ko duā ke daraḳht se
baiThā thā maiñ hisār-e-falak meñ zamīn par
dushman ne fat.h khīñch lī merī shikast se
maiñ bhī to thā farefta ḳhud apne-āp par
shikva karūñ maiñ kyā dil-e-nargis-parast se
girya kī saltanat mujhe degī shikast kyā
chhīnī hai maiñ ne zindagī paanī ke taḳht se
harf-e-duā pe gosh-bar-āvāz ho vo kyuuñ
dil se kalām hotā hai mastoñ ke mast se
hamd-o-sanā suḳhan kā nahīñ dil kā hai riyāz
kaise sanā karūñ maiñ dil-e-laḳht-laḳht se
ahl-e-ḳhirad ise na samajh pā.eñge 'faqīh'
kuchh mas.ale haiñ māvarā fat.h o shikast se
chaaragaron ne bandh diya mujh ko baKHt se
chhanw mili na mujh ko dua ke daraKHt se
baiTha tha main hisar-e-falak mein zamin par
dushman ne fath khinch li meri shikast se
main bhi to tha farefta KHud apne-ap par
shikwa karun main kya dil-e-nargis-parast se
girya ki saltanat mujhe degi shikast kya
chhini hai main ne zindagi pani ke taKHt se
harf-e-dua pe gosh-bar-awaz ho wo kyun
dil se kalam hota hai maston ke mast se
hamd-o-sana suKHan ka nahin dil ka hai riyaz
kaise sana karun main dil-e-laKHt-laKHt se
ahl-e-KHirad ise na samajh paenge 'faqih'
kuchh masale hain mawara fath o shikast se
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 19.01.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.