dam to de na gae chhuTta mala kaisa
daam to de na ga.e chhūTtā maalā kaisā
kal mahājan muā kartā thā taqāzā kaisā
vahī mastī kī buā baat thī mujrā kaisā
muñh-lagoñ ne kiyā navvāb ko rusvā kaisā
roTī mumkin nahīñ bhaḌve se to kapḌā kaisā
chhoḌ DhagḌe ko arī roz kā jhagḌā kaisā
kyā kahūñ ai buā bigḌā hai gharauñdā kaisā
kankarī nuun kī ghar meñ nahīñ aaTā kaisā
raat maamā ne jo sāqan ke kane dekh liyā
dam lagā kar muā dam-bāz vo khiskā kaisā
toḌ kar Thahrā buā paan kaTorī ke liye
aaj uḌtā hai muā chiḌiyā kā paTThā kaisā
hāthā-pā.ī nahīñ saukan se huī gar qibla
ban gayā abr-e-siyah barq sā pinDā kaisā
kaalā muñh nauj ho aisā kisī bandī ko nasīb
dāḌhī munDā muā lagtā hai bhujañgā kaisā
vo shab-e-māh meñ piite rahe gauhar ko liye
rashk khāyā kiye ham ai buā kaisā kaisā
jhāñk kar añgiyā kī dīvār se bangle kī bahār
ghaaT par aaj utar aaya hai paTThā kaisā
shauq se aa.eñ vo jab chāheñ takalluf kyā hai
dūlhā bhaa.ī se mujhe ai buā pardā kaisā
jāntī ḳhuub huuñ maiñ gurba-e-miskīn hai shaiḳh
vaqt-e-matlab muā ban jaatā hai ghunnā kaisā
pahnī kurtī buā begam ne aTangī aisī
nuur chhan-chhan ke nikaltā hai nazārā kaisā
nahīñ dāmād agar aa.e to beTī ke liye
aaj namgīrā mirī saas ne taanā kaisā
nahīñ maiñ ujḌī faqat yaar kī bigḌī guyyāñ
dekho bigḌā huā hai bazm kā naqshā kaisā
aisī jhijkī maiñ shab-e-vasl ki be-taur huī
uThā rah-rah ke dil-e-zār meñ dhachkā kaisā
paanī piine ke bahāne se chale aa.e jo ham
paanī pī pī ke vo kosā kiye kaisā kaisā
jī meñ hai phoḌ duuñ maiñ miir kī donoñ vallāh
ghūrtā phaaḌ ke diide hai nigoḌā kaisā
yahī to ranj hai begam buā sīdhā ho kar
paḌ gayā yaar hamārā muā ulTā kaisā
kasbiyoñ kī sī nahīñ vaz.a to hai hai baajī
arī pājāma kī ye goT meñ lachkā kaisā
jaadū kar kar ke buā ban gayā 'mohsin' apnā
yaad us reḳhtī vaale ko hai laTkā kaisā
dam to de na gae chhuTta mala kaisa
kal mahajan mua karta tha taqaza kaisa
wahi masti ki bua baat thi mujra kaisa
munh-lagon ne kiya nawwab ko ruswa kaisa
roTi mumkin nahin bhaDwe se to kapDa kaisa
chhoD DhagDe ko ari roz ka jhagDa kaisa
kya kahun ai bua bigDa hai gharaunda kaisa
kankari nun ki ghar mein nahin aaTa kaisa
raat mama ne jo saqan ke kane dekh liya
dam laga kar mua dam-baz wo khiska kaisa
toD kar Thahra bua pan kaTori ke liye
aaj uDta hai mua chiDiya ka paTTha kaisa
hatha-pai nahin saukan se hui gar qibla
ban gaya abr-e-siyah barq sa pinDa kaisa
kala munh nauj ho aisa kisi bandi ko nasib
daDhi munDa mua lagta hai bhujanga kaisa
wo shab-e-mah mein pite rahe gauhar ko liye
rashk khaya kiye hum ai bua kaisa kaisa
jhank kar angiya ki diwar se bangle ki bahaar
ghaT par aaj utar aaya hai paTTha kaisa
shauq se aaen wo jab chahen takalluf kya hai
dulha bhai se mujhe ai bua parda kaisa
jaanti KHub hun main gurba-e-miskin hai shaiKH
waqt-e-matlab mua ban jata hai ghunna kaisa
pahni kurti bua begam ne aTangi aisi
nur chhan-chhan ke nikalta hai nazara kaisa
nahin damad agar aae to beTi ke liye
aaj namgira meri sas ne tana kaisa
nahin main ujDi faqat yar ki bigDi guyyan
dekho bigDa hua hai bazm ka naqsha kaisa
aisi jhijki main shab-e-wasl ki be-taur hui
uTha rah-rah ke dil-e-zar mein dhachka kaisa
pani pine ke bahane se chale aae jo hum
pani pi pi ke wo kosa kiye kaisa kaisa
ji mein hai phoD dun main mir ki donon wallah
ghurta phaD ke dide hai nigoDa kaisa
yahi to ranj hai begam bua sidha ho kar
paD gaya yar hamara mua ulTa kaisa
kasbiyon ki si nahin waza to hai hai baji
ari pajama ki ye goT mein lachka kaisa
jadu kar kar ke bua ban gaya 'mohsin' apna
yaad us reKHti wale ko hai laTka kaisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.