dard ki kaun si manzil se guzarte honge
dard kī kaun sī manzil se guzarte hoñge
ḳhvāb ke paañv zamīnoñ pe utarte hoñge
ham ki marbūt hue aur shikasta ho kar
TuuT kar kaise bhalā log bikharte hoñge
ham ki sāhil ke tasavvur se sahm jaate haiñ
log kis tarah samundar meñ utarte hoñge
jaane kyā sochtī hoñgī vo añdherī rāteñ
chāñd jab un kī nigāhoñ meñ ubharte hoñge
tum jhulaste ho chaTānoñ pe magar jaane do
kitne hī log makānoñ meñ sañvarte hoñge
dard ki kaun si manzil se guzarte honge
KHwab ke panw zaminon pe utarte honge
hum ki marbut hue aur shikasta ho kar
TuT kar kaise bhala log bikharte honge
hum ki sahil ke tasawwur se sahm jate hain
log kis tarah samundar mein utarte honge
jaane kya sochti hongi wo andheri raaten
chand jab un ki nigahon mein ubharte honge
tum jhulaste ho chaTanon pe magar jaane do
kitne hi log makanon mein sanwarte honge
- Book : Aank Mein Luknat (Pg. 101)
- Author : Ghazanfar
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.