Darta hun main aksar kahin aisa na samajh le
Dartā huuñ maiñ aksar kahīñ aisā na samajh le
vo merī tavajjoh ko tamannā na samajh le
ye soch ke dānista rahā us se bahut duur
maġhrūr hai dariyā mujhe pyāsā na samajh le
hoñToñ pe hañsī hāthoñ meñ nashtar haiñ ḳhabar-dār
koī kisī qātil ko masīhā na samajh le
ab maiñ bhī chaTānoñ kī tarah siina sipar huuñ
tūfān-e-havādis mujhe tinkā na samajh le
palkoñ pe 'sharar' ashk sajāyā na karo tum
jugnū na samajh le koī taarā na samajh le
Darta hun main aksar kahin aisa na samajh le
wo meri tawajjoh ko tamanna na samajh le
ye soch ke danista raha us se bahut dur
maghrur hai dariya mujhe pyasa na samajh le
honTon pe hansi hathon mein nashtar hain KHabar-dar
koi kisi qatil ko masiha na samajh le
ab main bhi chaTanon ki tarah sina sipar hun
tufan-e-hawadis mujhe tinka na samajh le
palkon pe 'sharar' ashk sajaya na karo tum
jugnu na samajh le koi tara na samajh le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.