dasht-e-afkar mein sukhe hue phulon se mile
dasht-e-afkār meñ sūkhe hue phūloñ se mile
kal tirī yaad ke mā'tūb rasūloñ se mile
apnī hī zaat ke sahrā meñ sulagte hue log
apnī parchhā.īñ se Takrā.e hayyūloñ se mile
gaañv kī samt chalī dhuup doshālā oḌhe
taaki bāġhoñ meñ ThiThurte ho.e phūloñ se mile
kaun uḌte ho.e rañgoñ ko giraftār kare
kaun āñkhoñ meñ utartī huī dhūloñ se mile
is bhare shahr meñ 'nashtar' koī aisā bhī kahāñ
roz jo shaam meñ ham jaise fuzūloñ se mile
dasht-e-afkar mein sukhe hue phulon se mile
kal teri yaad ke ma'tub rasulon se mile
apni hi zat ke sahra mein sulagte hue log
apni parchhain se Takrae hayyulon se mile
ganw ki samt chali dhup doshaala oDhe
taki baghon mein ThiThurte hoe phulon se mile
kaun uDte hoe rangon ko giraftar kare
kaun aankhon mein utarti hui dhulon se mile
is bhare shahr mein 'nashtar' koi aisa bhi kahan
roz jo sham mein hum jaise fuzulon se mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.