dayar-e-ishq mein raushan-dimagh the hum bhi
dayār-e-ishq meñ raushan-dimāġh the ham bhī
vo ḳhush-nazar thā bahut sabz-bāġh the ham bhī
har ek rishta thā munkir hamārī hastī se
nigār-e-zīst ke dāman kā daaġh the ham bhī
ḳhizāñ kā daur bhī hotā to fasl-e-gul hotī
kisī ke faiz-e-nazar se vo baaġh the ham bhī
ye aur baat hameñ aaj tum na pahchāno
tumhārī bazm kā raushan charāġh the ham bhī
mizāj hī nahīñ miltā to dostī kaisī
vo tund-ḳhū thā bahut bad-dimāġh the ham bhī
kahīñ pe chāñd kahīñ aa.ina kahīñ gul the
ye tum se kis ne kahā hai ayāġh the ham bhī
vo ham ko DhūñD bhī letā to kyā burā hotā
ki us kī zaat ke 'shabnam' surāġh the ham bhī
dayar-e-ishq mein raushan-dimagh the hum bhi
wo KHush-nazar tha bahut sabz-bagh the hum bhi
har ek rishta tha munkir hamari hasti se
nigar-e-zist ke daman ka dagh the hum bhi
KHizan ka daur bhi hota to fasl-e-gul hoti
kisi ke faiz-e-nazar se wo bagh the hum bhi
ye aur baat hamein aaj tum na pahchano
tumhaari bazm ka raushan charagh the hum bhi
mizaj hi nahin milta to dosti kaisi
wo tund-KHu tha bahut bad-dimagh the hum bhi
kahin pe chand kahin aaina kahin gul the
ye tum se kis ne kaha hai ayagh the hum bhi
wo hum ko DhunD bhi leta to kya bura hota
ki us ki zat ke 'shabnam' suragh the hum bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.