der mein so kar uThne wale
der meñ so kar uThne vaale
paḌe haiñ bistar uThne vaale
chaa.e kī barakat se ḳhālī haiñ
der meñ aksar uThne vaale
shor nahīñ is chup kī talāfī
dil meñ bavanDar uThne vaale
haa.e vo dīvānoñ ke sar haiñ
aah vo patthar uThne vaale
ḳhatm hue ḳhvāboñ ke tamāshe
aañkh se manzar uThne vaale
chehroñ kī bīmār latāfat
haath meñ sāġhar uThne vaale
yuuñ bhī kuchal detī hai hasrat
yādoñ ke sar uThne vaale
aas ke vo mad.hosh bagūle
rāhguzar bhar uThne vaale
dhuup kaḌī hai din lambā hai
aur ye mahshar uThne vaale
der mein so kar uThne wale
paDe hain bistar uThne wale
chae ki barakat se KHali hain
der mein aksar uThne wale
shor nahin is chup ki talafi
dil mein bawanDar uThne wale
hae wo diwanon ke sar hain
aah wo patthar uThne wale
KHatm hue KHwabon ke tamashe
aankh se manzar uThne wale
chehron ki bimar latafat
hath mein saghar uThne wale
yun bhi kuchal deti hai hasrat
yaadon ke sar uThne wale
aas ke wo madhosh bagule
rahguzar bhar uThne wale
dhup kaDi hai din lamba hai
aur ye mahshar uThne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.