dil ke arman aansuon mein bah gae
dil ke armāñ āñsuoñ meñ bah ga.e
ham vafā kar ke bhī tanhā rah ga.e
zindagī ik pyaas ban kar rah ga.ī
pyaar ke qisse adhūre rah ga.e
shāyad un kā āḳhirī ho ye sitam
har sitam ye soch kar ham sah ga.e
ḳhud ko bhī ham ne miTā Daalā magar
fāsle jo darmiyāñ the rah ga.e
dil ke arman aansuon mein bah gae
hum wafa kar ke bhi tanha rah gae
zindagi ek pyas ban kar rah gai
pyar ke qisse adhure rah gae
shayad un ka aaKHiri ho ye sitam
har sitam ye soch kar hum sah gae
KHud ko bhi hum ne miTa Dala magar
fasle jo darmiyan the rah gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.