dil ko chashm-e-yar ne jab jam-e-mai apna diya
dil ko chashm-e-yār ne jab jām-e-mai apnā diyā
un se ḳhush ho kar liyā aur kah ke bismillāh piyā
dekh us kī jāma-zebī gul ne apnā pairahan
is qadar phāḌā ki bulbul se nahīñ jaatā piyā
be-qarārī ne nigāh-e-sīmbar pherī idhar
kī ināyat ham ko us sīmāb ne ye kīmiyā
us ke kūche meñ jise jā baiThne ko mil ga.ī
masnad-e-zarbāf par ġhālib hai us kā boriyā
dil chhupā baiThā to us zulf-e-musalsal se 'nazīr'
ai asīr-e-dām-e-nā-fahmī ye tū ne kyā kiyā
dil ko chashm-e-yar ne jab jam-e-mai apna diya
un se KHush ho kar liya aur kah ke bismillah piya
dekh us ki jama-zebi gul ne apna pairahan
is qadar phaDa ki bulbul se nahin jata piya
be-qarari ne nigah-e-simbar pheri idhar
ki inayat hum ko us simab ne ye kimiya
us ke kuche mein jise ja baiThne ko mil gai
masnad-e-zarbaf par ghaalib hai us ka boriya
dil chhupa baiTha to us zulf-e-musalsal se 'nazir'
ai asir-e-dam-e-na-fahmi ye tu ne kya kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.