dil mein le ke kashish bandagi ki ishq ko aazma kar to dekho
dil mein le ke kashish bandagi ki ishq ko aazma kar to dekho
Fana bulandshahri
MORE BYFana bulandshahri
dil meñ le ke kashish bandagī kī ishq ko aazmā kar to dekho
āstāñ par kabhī us sanam ke apne sajde luTā kar to dekho
hogā har ik maqbūl sajda arsh kā nuur hogā jabīñ par
āshiqo kūcha-e-dil-rubā meñ apne sar ko jhukā kar to dekho
Duub jā.egī ḳhud mast ho kar be-ḳhudī jalva-e-ma.arifat meñ
jān-e-jānāñ sharāb-e-mohabbat mai-kashoñ ko pilā kar to dekho
hai tumhārī talab mere dil meñ naam hai mere lab par tumhārā
zarra zarra hai mushtāq jalva merī ḳhalvat meñ aa kar to dekho
duur ho ga.ī muqaddar kī zulmat jagmagā.egā ā.īna dil kā
tum ko duniyā meñ jannat milegī un kī mahfil meñ jā kar to dekho
aisā badlegā hastī kā aalam ishq ḳhud hogā husn-e-mujassam
ai 'fanā' raas aa jā.eñge ġham un se dil ko lagā kar to dekho
dil mein le ke kashish bandagi ki ishq ko aazma kar to dekho
aastan par kabhi us sanam ke apne sajde luTa kar to dekho
hoga har ek maqbul sajda arsh ka nur hoga jabin par
aashiqo kucha-e-dil-ruba mein apne sar ko jhuka kar to dekho
Dub jaegi KHud mast ho kar be-KHudi jalwa-e-marifat mein
jaan-e-jaanan sharab-e-mohabbat mai-kashon ko pila kar to dekho
hai tumhaari talab mere dil mein nam hai mere lab par tumhaara
zarra zarra hai mushtaq jalwa meri KHalwat mein aa kar to dekho
dur ho gai muqaddar ki zulmat jagmagaega aaina dil ka
tum ko duniya mein jannat milegi un ki mahfil mein ja kar to dekho
aisa badlega hasti ka aalam ishq KHud hoga husn-e-mujassam
ai 'fana' ras aa jaenge gham un se dil ko laga kar to dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.