ek bas tu hi nahin mujhse KHafa ho baiTha
ek bas tū hī nahīñ mujh se ḳhafā ho baiThā
maiñ ne jo sañg tarāshā thā ḳhudā ho baiThā
uTh ke manzil hī agar aa.e to shāyad kuchh ho
shauq-e-manzil to mirā ābla-pā ho baiThā
maslahat chhīn lī hai quvvat-e-guftār magar
kuchh na kahnā hī mirā merī ḳhatā ho baiThā
shukriya ai mire qātil ai masīhā mere
zahr jo tū ne diyā thā vo davā ho baiThā
jān-e-shahzād ko min-jumla-e-a.adā pā kar
huuk vo uTThī ki jī tan se judā ho baiThā
ek bas tu hi nahin mujh se KHafa ho baiTha
main ne jo sang tarasha tha KHuda ho baiTha
uTh ke manzil hi agar aae to shayad kuchh ho
shauq-e-manzil to mera aabla-pa ho baiTha
maslahat chhin li hai quwwat-e-guftar magar
kuchh na kahna hi mera meri KHata ho baiTha
shukriya ai mere qatil ai masiha mere
zahr jo tu ne diya tha wo dawa ho baiTha
jaan-e-shahzad ko min-jumla-e-ada pa kar
huk wo uTThi ki ji tan se juda ho baiTha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.