ek malbus-e-darida hai meri wahshat-e-hijr
ek malbūs-e-darīda hai mirī vahshat-e-hijr
huī jaatī hai hijāboñ meñ ayaañ qāmat-e-hijr
ik tahayyur sā tahayyur hai tilism-gāh-e-talab
hai fusūñ-ḳhez kahīñ us se sivā ishrat-e-hijr
dāman-e-dard meñ simTā jo sukūt-e-girya
chashm-e-be-āb meñ poshīda rahī ismat-e-hijr
tañg-dāmānī-e-ālam meñ samā hī na sakī
hai sarīr-ārā karāñ-tā-ba-karāñ vus.at-e-hijr
ā.īna-ḳhāna-e-dil meñ hai vahī partav-e-huzn
naqsh-dar-naqsh vahī ḳhāl-o-ḳhad-e-shaukat-e-hijr
parda-e-chashm pe raqsāñ hai tirā aks hunūz
so bas ik vahm hai ye kār-gah-e-sā.at-e-hijr
ishq-e-shorīda to uryāñ huā jaatā thā magar
parda-dār-e-nigah-e-shauq rahī kisvat-e-hijr
zaḳhm-e-dil dīda-e-ḳhūnāba-fashāñ jazb-o-junūñ
saath laa.ī hai ḳhazīne ḳhabar-e-tohmat-e-hijr
ik talātum meñ hai ye ālam-e-āb-o-ḳhākī
haa.e mat pūchhiye 'anjum' zabar-e-hurmat-e-hijr
ek malbus-e-darida hai meri wahshat-e-hijr
hui jati hai hijabon mein ayan qamat-e-hijr
ek tahayyur sa tahayyur hai tilism-gah-e-talab
hai fusun-KHez kahin us se siwa ishrat-e-hijr
daman-e-dard mein simTa jo sukut-e-girya
chashm-e-be-ab mein poshida rahi ismat-e-hijr
tang-damani-e-alam mein sama hi na saki
hai sarir-ara karan-ta-ba-karan wusat-e-hijr
aaina-KHana-e-dil mein hai wahi partaw-e-huzn
naqsh-dar-naqsh wahi KHal-o-KHad-e-shaukat-e-hijr
parda-e-chashm pe raqsan hai tera aks hunuz
so bas ek wahm hai ye kar-gah-e-saat-e-hijr
ishq-e-shorida to uryan hua jata tha magar
parda-dar-e-nigah-e-shauq rahi kiswat-e-hijr
zaKHm-e-dil dida-e-KHunaba-fashan jazb-o-junun
sath lai hai KHazine KHabar-e-tohmat-e-hijr
ek talatum mein hai ye aalam-e-ab-o-KHaki
hae mat puchhiye 'anjum' zabar-e-hurmat-e-hijr
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.