faeda kya hai hamein aur KHasara kya hai
fā.eda kyā hai hameñ aur ḳhasāra kyā hai
jo bhī hai aap kā sab kuchh hai hamārā kyā hai
ham ne kuchh aisī banā rakkhī hai hālat apnī
pūchhtā koī nahīñ haal tumhārā kyā hai
kuchh nahīñ dekhte kuchh bhī ho tire dīvāne
dekhte haiñ tirī jānib se ishāra kyā hai
duur se jo nazar aatā hai sitāre jaisā
ashk-e-mahtāb hai yā koī sharāra kyā hai
jism par vaar kiyā aur use Dher kiyā
ham ko maarā hai qazā ne vale maarā kyā hai
ḳhatm ho jā.egā jab khel to khul jā.egā
koī jiitā hai to kyā haarā to haarā kyā hai
Dūbne vaale ko tinke kā sahārā hai bahut
Dūbne vaale ko tinke kā sahārā kyā hai
mar ga.e hote to yaad aate tumheñ bhī 'ajmal'
jī rahe haiñ to qusūr is meñ hamārā kyā hai
faeda kya hai hamein aur KHasara kya hai
jo bhi hai aap ka sab kuchh hai hamara kya hai
hum ne kuchh aisi bana rakkhi hai haalat apni
puchhta koi nahin haal tumhaara kya hai
kuchh nahin dekhte kuchh bhi ho tere diwane
dekhte hain teri jaanib se ishaara kya hai
dur se jo nazar aata hai sitare jaisa
ashk-e-mahtab hai ya koi sharara kya hai
jism par war kiya aur use Dher kiya
hum ko mara hai qaza ne wale mara kya hai
KHatm ho jaega jab khel to khul jaega
koi jita hai to kya haara to haara kya hai
Dubne wale ko tinke ka sahaara hai bahut
Dubne wale ko tinke ka sahaara kya hai
mar gae hote to yaad aate tumhein bhi 'ajmal'
ji rahe hain to qusur is mein hamara kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.