falak ke hathon jidhar munh uThae jata hun
falak ke hāthoñ jidhar muñh uThā.e jaatā huuñ
udhar se juuñ gul-e-bāzī tapāñcha khātā huuñ
kabhī hai āñkhoñ meñ zar diida pe nigah un kī
ki maiñ har ek se aañkh apnī ab churātā huuñ
havā ke ghoḌe pe jab vo savār hote haiñ
to pā ke vaqt maiñ kyā kyā maze uḌātā huuñ
ḳhilāfī un ke vo āñkheñ jo yaad aatī haiñ
to apnī āñkhoñ ko ro ro ke maiñ sujātā huuñ
balā se gar nahīñ milte vo mujh se par 'mārūf'
unhoñ kā shahr maiñ āshiq to maiñ kahātā huuñ
falak ke hathon jidhar munh uThae jata hun
udhar se jun gul-e-bazi tapancha khata hun
kabhi hai aankhon mein zar dida pe nigah un ki
ki main har ek se aankh apni ab churaata hun
hawa ke ghoDe pe jab wo sawar hote hain
to pa ke waqt main kya kya maze uData hun
KHilafi un ke wo aankhen jo yaad aati hain
to apni aankhon ko ro ro ke main sujata hun
bala se gar nahin milte wo mujh se par 'maruf'
unhon ka shahr main aashiq to main kahata hun
- Intikhab-e-Sukhan,Volume-001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.