faza-e-admiyyat ko sanwarne hi nahin dete
fazā-e-ādmiyyat ko sañvarne hī nahīñ dete
siyāsat-dāñ diloñ ke zaḳhm bharne hī nahīñ dete
zamāna vo bhī thā jab hādse kā Dar satātā thā
magar ab hādse logoñ ko Darne hī nahīñ dete
kuchh ham ne ḳhvāb aise paal rakkhe haiñ ki jo ham ko
haqīqat kī zamīñ par paañv rakhne hī nahīñ dete
ye maanā 'ishq se bantī hai jannat zindagī lekin
masā.il zindagī se 'ishq karne hī nahīñ dete
guzargāhoñ ke aage manzileñ āvāz detī haiñ
magar Thahre hue lamhe guzarne hī nahīñ dete
'bashar' be-rahm haiñ ye parbatoñ jaise usuul apne
kisī ke dil kī vaadī meñ utarne hī nahīñ dete
faza-e-admiyyat ko sanwarne hi nahin dete
siyasat-dan dilon ke zaKHm bharne hi nahin dete
zamana wo bhi tha jab hadse ka Dar satata tha
magar ab hadse logon ko Darne hi nahin dete
kuchh hum ne KHwab aise pal rakkhe hain ki jo hum ko
haqiqat ki zamin par panw rakhne hi nahin dete
ye mana 'ishq se banti hai jannat zindagi lekin
masail zindagi se 'ishq karne hi nahin dete
guzargahon ke aage manzilen aawaz deti hain
magar Thahre hue lamhe guzarne hi nahin dete
'bashar' be-rahm hain ye parbaton jaise usul apne
kisi ke dil ki wadi mein utarne hi nahin dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.