faza-e-mai-kada be-rang lag rahi hai mujhe
fazā-e-mai-kada be-rañg lag rahī hai mujhe
rag-e-gulāb rag-e-sañg lag rahī hai mujhe
ye chand din meñ qayāmat guzar ga.ī kaisī
ki aaj sulh tirī jañg lag rahī hai mujhe
mire makān se do-gām par hai terī galī
ye aaj saikḌoñ farsañg lag rahī hai mujhe
nvā-e-naġhma bhī haiñ soz-o-sāz se ḳhālī
fuġhāñ bhī ḳhārij-az-āhañg lag rahī hai mujhe
zarūr phir koī uftād paḌne vaalī hai
ki ye zamīn bahut tañg lag rahī hai mujhe
faza-e-mai-kada be-rang lag rahi hai mujhe
rag-e-gulab rag-e-sang lag rahi hai mujhe
ye chand din mein qayamat guzar gai kaisi
ki aaj sulh teri jang lag rahi hai mujhe
mere makan se do-gam par hai teri gali
ye aaj saikDon farsang lag rahi hai mujhe
nwa-e-naghma bhi hain soz-o-saz se KHali
fughan bhi KHarij-az-ahang lag rahi hai mujhe
zarur phir koi uftad paDne wali hai
ki ye zamin bahut tang lag rahi hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.