fida allah ki KHilqat pe jis ka jism o jaan hoga
fidā allāh kī ḳhilqat pe jis kā jism o jaañ hogā
vahī afsāna-e-hastī kā mīr-e-dāstāñ hogā
yaqīñ jis kā kalām-e-quds ajr-ul-mohsinīñ par ho
niko-kārī kā us kī qaa.il ik din kul jahāñ hogā
hayāt-e-jāvedānī pā.egā vo 'ishq-e-sādiq meñ
jo 'anqā kī tarah mā'dūm hogā be-nishāñ hogā
safar rāh-e-mohabbat kā chahal-qadmī samajhte ho
abhī dekhoge tum ik ik qadam par haft-ḳhvāñ hogā
hameñ gulzār-e-jannat hai azīzo bāġh-e-dil apnā
samajhte ho ki jāñ-parvar hai sehn-e-gulsitāñ hogā
jo īsār aur hamdardī shi'ār apnā banā loge
to kāñTā bhī tumheñ rashk-e-gul-e-bāġh-e-jināñ hogā
ye qissa sham' o parvāne kā bas mā-vashā tak hai
vo ho jā.egā bazm-ārā to phir koī kahāñ hogā
adā-e-farz bar-haq par khapā do dosto jaañ tak
ye vo saudā hai āḳhir ko nahīñ jis meñ ziyāñ hogā
azal se vā.izo ke qaul duniyā suntī aa.ī hai
'amal kā vaqt bhī koī kabhī ai mehrbāñ hogā
taġhāful aur sitam ke badle hai andāz dildārī
sambhal ai shauq-e-be-pāyāñ tirā ab imtihāñ hogā
tahī-dastān-e-qismat ko to dam lenā qayāmat hai
yahāñ kuchh ho gayā insāf-e-āshiq jo vahāñ hogā
na samjho khel is ko bazm 'kaifī' meñ vo jaadū hai
yahāñ gar zāhid-e-ḳhushk aa.egā pīr-e-muġhāñ hogā
fida allah ki KHilqat pe jis ka jism o jaan hoga
wahi afsana-e-hasti ka mir-e-dastan hoga
yaqin jis ka kalam-e-quds ajr-ul-mohsinin par ho
niko-kari ka us ki qail ek din kul jahan hoga
hayat-e-jawedani paega wo 'ishq-e-sadiq mein
jo 'anqa ki tarah ma'dum hoga be-nishan hoga
safar rah-e-mohabbat ka chahal-qadmi samajhte ho
abhi dekhoge tum ek ek qadam par haft-KHwan hoga
hamein gulzar-e-jannat hai azizo bagh-e-dil apna
samajhte ho ki jaan-parwar hai sehn-e-gulsitan hoga
jo isar aur hamdardi shi'ar apna bana loge
to kanTa bhi tumhein rashk-e-gul-e-bagh-e-jinan hoga
ye qissa sham' o parwane ka bas ma-washa tak hai
wo ho jaega bazm-ara to phir koi kahan hoga
ada-e-farz bar-haq par khapa do dosto jaan tak
ye wo sauda hai aaKHir ko nahin jis mein ziyan hoga
azal se waizo ke qaul duniya sunti aai hai
'amal ka waqt bhi koi kabhi ai mehrban hoga
taghaful aur sitam ke badle hai andaz dildari
sambhal ai shauq-e-be-payan tera ab imtihan hoga
tahi-dastan-e-qismat ko to dam lena qayamat hai
yahan kuchh ho gaya insaf-e-ashiq jo wahan hoga
na samjho khel is ko bazm 'kaifi' mein wo jadu hai
yahan gar zahid-e-KHushk aaega pir-e-mughan hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.