gahrai tak chubhta KHanjar rahne de
gahrā.ī tak chubhtā ḳhanjar rahne de
ḳhūñ-ālūda dīvār-o-dar rahne de
dīvāna achchhā hai jā kar kah denā
aslī hālat ai nāma-bar rahne de
iddat rakhnī hogī us ke jaane kī
kuchh din ye āñkheñ be-manzar rahne de
gintī ke lamhe hoñ to phir na aanā
muztar dil hai is ko muztar rahne de
maiñ ghuTnoñ meñ sar rakh kar so jaatā huuñ
jaisī bhī hai merī chādar rahne de
gahrai tak chubhta KHanjar rahne de
KHun-aluda diwar-o-dar rahne de
diwana achchha hai ja kar kah dena
asli haalat ai nama-bar rahne de
iddat rakhni hogi us ke jaane ki
kuchh din ye aankhen be-manzar rahne de
ginti ke lamhe hon to phir na aana
muztar dil hai is ko muztar rahne de
main ghuTnon mein sar rakh kar so jata hun
jaisi bhi hai meri chadar rahne de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.