ghar-bar ka main bojh uThate hue chali
ghar-bār kā maiñ bojh uThāte hue chalī
kāñdhe se kāñdhā sab ke milāte hue chalī
maañ huuñ bahan huuñ beTī sharīk-e-hayāt huuñ
rishtoñ ke sab taqāze nibhāte huī chalī
har shaḳhs kī nigāh kā thā zāviya judā
āñkhoñ se sab kī aañkh milāte hue chalī
chalnā mirā mizāj hai ruknā nahīñ pasand
apne liye maiñ raah banāte hue chalī
'amrīna' merā naam hai saada huuñ is qadar
sab dostoñ ke naaz uThāte hue chalī
ghar-bar ka main bojh uThate hue chali
kandhe se kandha sab ke milate hue chali
man hun bahan hun beTi sharik-e-hayat hun
rishton ke sab taqaze nibhate hui chali
har shaKHs ki nigah ka tha zawiya juda
aankhon se sab ki aankh milate hue chali
chalna mera mizaj hai rukna nahin pasand
apne liye main rah banate hue chali
'amrina' mera nam hai sada hun is qadar
sab doston ke naz uThate hue chali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.