go teri zulfon ka zindani hun main
go tirī zulfoñ kā zindānī huuñ maiñ
bhuul mat jaanā ki sailānī huuñ maiñ
zindagī kī qaid koī qaid hai
sūkhte tālāb kā paanī huuñ maiñ
chāñdnī rātoñ meñ yāroñ ke baġhair
chāñdnī rātoñ kī vīrānī huuñ maiñ
jis qadar maujūd huuñ mafqūd huuñ
jis qadar ġhā.eb huuñ lāfānī huuñ maiñ
mujh ko tanhā.ī meñ sunñā baiTh kar
mutrib-e-lamhāt-e-vajdānī huuñ maiñ
jis qadar kartā huuñ andesha 'adam'
us qadar tasvīr-e-hairānī huuñ maiñ
aql se kyā kaam mujh nāchīz kā
ek ma.amūlī sī nādānī huuñ maiñ
huuñ agar to huuñ bhī kyā is ke sivā
qīmtī virse kī arzānī huuñ maiñ
dil kī dhaḌkan baḌhtī jaatī hai 'adam'
kis hasīñ ke zer-e-nigrānī huuñ maiñ
go teri zulfon ka zindani hun main
bhul mat jaana ki sailani hun main
zindagi ki qaid koi qaid hai
sukhte talab ka pani hun main
chandni raaton mein yaron ke baghair
chandni raaton ki virani hun main
jis qadar maujud hun mafqud hun
jis qadar ghaeb hun lafani hun main
mujh ko tanhai mein sunna baiTh kar
mutrib-e-lamhat-e-wajdani hun main
jis qadar karta hun andesha 'adam'
us qadar taswir-e-hairani hun main
aql se kya kaam mujh nachiz ka
ek mamuli si nadani hun main
hun agar to hun bhi kya is ke siwa
qimti wirse ki arzani hun main
dil ki dhaDkan baDhti jati hai 'adam'
kis hasin ke zer-e-nigrani hun main
- Book : Kulliyat-e-Adm (Pg. 518)
- Author : Khwaja Mohammad Zakariya
- Publication : Alhamd Publications, Lahore (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.