gutthi na sulajh pai go suljhai bahut hai
gutthī na sulajh paa.ī go suljhā.ī bahut hai
jo ḳhuub luTā.ī thī vo shai paa.ī bahut hai
phislan ye kināroñ pa ye Thahrāv nadī kā
sab saaf ishāre haiñ ki gahrā.ī bahut hai
Dartā huuñ kahīñ ḳhud se na ho jaa.e mulāqāt
is dil kī guzargāh meñ tanhā.ī bahut hai
parbat sī haqīqat bhī dalīloñ meñ paḌe kam
be-par kī uḌānā ho to bas raa.ī bahut hai
kyā dekh ke lauTe haiñ mohabbat kī galī se
kyā baat hai āvāz kyuuñ bharrā.ī bahut hai
gutthi na sulajh pai go suljhai bahut hai
jo KHub luTai thi wo shai pai bahut hai
phislan ye kinaron pa ye Thahraw nadi ka
sab saf ishaare hain ki gahrai bahut hai
Darta hun kahin KHud se na ho jae mulaqat
is dil ki guzargah mein tanhai bahut hai
parbat si haqiqat bhi dalilon mein paDe kam
be-par ki uDana ho to bas rai bahut hai
kya dekh ke lauTe hain mohabbat ki gali se
kya baat hai aawaz kyun bharrai bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.