haal ye hai ki KHwahish-e-pursish-e-haal bhi nahin
haal ye hai ki ḳhvāhish-e-pursish-e-hāl bhī nahīñ
us kā ḳhayāl bhī nahīñ apnā ḳhayāl bhī nahīñ
ai shajar-e-hayāt-e-shauq aisī ḳhizāñ-rasīdagī
poshish-e-barg-o-gul to kyā jism pe chhāl bhī nahīñ
mujh meñ vo shaḳhs ho chukā jis kā koī hisāb thā
suud hai kyā ziyāñ hai kyā is kā savāl bhī nahīñ
mast haiñ apne haal meñ dil-zadagān-o-dil-barāñ
sulh-o-salām to kujā bahs-o-jidāl bhī nahīñ
tū mirā hausla to dekh daad to de ki ab mujhe
shauq-e-kamāl bhī nahīñ ḳhauf-e-zavāl bhī nahīñ
ḳhema-gāh-e-nigāh ko luuT liyā gayā hai kyā
aaj ufuq ke dosh par gard kī shaal bhī nahīñ
uf ye fazā-e-ehtiyāt tā kahīñ uḌ na jaa.eñ ham
bād-e-junūb bhī nahīñ bād-e-shimāl bhī nahīñ
vaj.h-e-ma'āsh-e-be-dilāñ yaas hai ab magar kahāñ
us ke varūd kā gumāñ farz-e-muhāl bhī nahīñ
ġhārat-e-roz-o-shab to dekh vaqt kā ye ġhazab to dekh
kal to nidhāl bhī thā maiñ aaj nidhāl bhī nahīñ
mere zamān-o-zāt kā hai ye mu'āmla ki ab
sub.h-e-firāq bhī nahīñ shām-e-visāl bhī nahīñ
pahle hamāre zehn meñ husn kī ik misāl thī
ab to hamāre zehn meñ koī misāl bhī nahīñ
maiñ bhī bahut 'ajīb huuñ itnā 'ajīb huuñ ki bas
ḳhud ko tabāh kar liyā aur malāl bhī nahīñ
haal ye hai ki KHwahish-e-pursish-e-haal bhi nahin
us ka KHayal bhi nahin apna KHayal bhi nahin
ai shajar-e-hayat-e-shauq aisi KHizan-rasidagi
poshish-e-barg-o-gul to kya jism pe chhaal bhi nahin
mujh mein wo shaKHs ho chuka jis ka koi hisab tha
sud hai kya ziyan hai kya is ka sawal bhi nahin
mast hain apne haal mein dil-zadagan-o-dil-baran
sulh-o-salam to kuja bahs-o-jidal bhi nahin
tu mera hausla to dekh dad to de ki ab mujhe
shauq-e-kamal bhi nahin KHauf-e-zawal bhi nahin
KHema-gah-e-nigah ko luT liya gaya hai kya
aaj ufuq ke dosh par gard ki shaal bhi nahin
uf ye faza-e-ehtiyat ta kahin uD na jaen hum
baad-e-junub bhi nahin baad-e-shimal bhi nahin
wajh-e-ma'ash-e-be-dilan yas hai ab magar kahan
us ke warud ka guman farz-e-muhaal bhi nahin
ghaarat-e-roz-o-shab to dekh waqt ka ye ghazab to dekh
kal to nidhaal bhi tha main aaj nidhaal bhi nahin
mere zaman-o-zat ka hai ye mu'amla ki ab
subh-e-firaq bhi nahin sham-e-visal bhi nahin
pahle hamare zehn mein husn ki ek misal thi
ab to hamare zehn mein koi misal bhi nahin
main bhi bahut 'ajib hun itna 'ajib hun ki bas
KHud ko tabah kar liya aur malal bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.