hadis-e-jam chale qissa-e-subu nikle
hadīs-e-jām chale qissa-e-subū nikle
kisī bhī tarah sahī terī guftugū nikle
maiñ tesha-zan huuñ tire vāste yahī bas hai
ye aarzū hī kise hai ki aarzū nikle
na jaane kyoñ mirā lahja badalne lagtā hai
jo dostoñ meñ kabhī terī guftugū nikle
diloñ kī baat bhī niklī nasīm-e-āvāra
hamāre ishq ke qisse bhī kū-ba-kū nikle
ye jānte haiñ ki tū shahr meñ nahīñ hai magar
hai phir bhī aas kisī moḌ par se tū nikle
dil-e-gudāz kā kartā huuñ ehtirām itnā
maiñ chuum letā huuñ jis aañkh se lahū nikle
ḳhudā ke fazl se maiñ kam hunar na thā 'afsar'
sitam to ye hai ki ahbāb aib-jū nikle
hadis-e-jam chale qissa-e-subu nikle
kisi bhi tarah sahi teri guftugu nikle
main tesha-zan hun tere waste yahi bas hai
ye aarzu hi kise hai ki aarzu nikle
na jaane kyon mera lahja badalne lagta hai
jo doston mein kabhi teri guftugu nikle
dilon ki baat bhi nikli nasim-e-awara
hamare ishq ke qisse bhi ku-ba-ku nikle
ye jaante hain ki tu shahr mein nahin hai magar
hai phir bhi aas kisi moD par se tu nikle
dil-e-gudaz ka karta hun ehtiram itna
main chum leta hun jis aankh se lahu nikle
KHuda ke fazl se main kam hunar na tha 'afsar'
sitam to ye hai ki ahbab aib-ju nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.