hai mere dil mein har ek zaKHm gulistan jaise
hai mire dil meñ har ik zaḳhm gulistāñ jaise
aa ga.ī raas havā-e-ġham-e-jānāñ jaise
merā īmān-e-javānī nikhar aaya kuchh aur
de rahī hai vo nazar dāvat-e-isyāñ jaise
chāñdnī tere tasavvur kī hai dilkash kitnī
ho mirī shām-e-alam sub.h-e-bahārāñ jaise
husn aur ta.ana-e-bechārgī-e-dast-e-talab
ishq hai be-ḳhabar-e-tangī-e-dāmāñ jaise
yūrish-e-ġham se mire dil kā to ye haal hai ab
chaak kar de koī phūloñ ke garebāñ jaise
mujh se dīvāne se ye tark-e-junūñ kī bāteñ
kam mile harza-sarā vā.iz-e-nādāñ jaise
dil meñ is tarah hai andesha-e-mahrūmī-e-shauq
so rahā hai sar-e-sāhil koī tūfāñ jaise
jab bhī letā huuñ koī saañs to jal uThtā huuñ
ātish-e-shauq ho siine meñ farozāñ jaise
log karte haiñ mire haal pe yuuñ tanz 'ġhanī'
zahr-e-ġham pī ke sañbhalnā bhī hai āsāñ jaise
hai mere dil mein har ek zaKHm gulistan jaise
aa gai ras hawa-e-gham-e-jaanan jaise
mera iman-e-jawani nikhar aaya kuchh aur
de rahi hai wo nazar dawat-e-isyan jaise
chandni tere tasawwur ki hai dilkash kitni
ho meri sham-e-alam subh-e-bahaaran jaise
husn aur tana-e-bechaargi-e-dast-e-talab
ishq hai be-KHabar-e-tangi-e-daman jaise
yurish-e-gham se mere dil ka to ye haal hai ab
chaak kar de koi phulon ke gareban jaise
mujh se diwane se ye tark-e-junun ki baaten
kam mile harza-sara waiz-e-nadan jaise
dil mein is tarah hai andesha-e-mahrumi-e-shauq
so raha hai sar-e-sahil koi tufan jaise
jab bhi leta hun koi sans to jal uThta hun
aatish-e-shauq ho sine mein farozan jaise
log karte hain mere haal pe yun tanz 'ghani'
zahr-e-gham pi ke sanbhalna bhi hai aasan jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.